Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi,

Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi,

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi,

Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi,

Jo ho Faisla woh sunaaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karain ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi,

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to 'NASIR' dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi.

Jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha

Jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha
Khud tha ghamgeen mager us ko baykhaber rakha,

Aaj wahi shakhs mayray g ko jalata hay bohat
Roh ko ghayal ankhoon ko rulata hay bohat,

Kon c main nay thee us say khudaii mangi
Jub bhi mangi tu fakt us say mohabt mangi,

Mayri chaht ka badla mujh ko istarah say mila
Hansta jo dil tha mayra mujh ko hay ujra sa mila.

Zakhm e Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi

Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi
Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi,

Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri
Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi,

Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera
Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi,

Meri Aahon Ki Zaban Koi Samjhta Kaisay?
Zindagi Etni Dukhi Meray Siva Kis Ki Thi,

Aag Say Dosti Os Ki Thi, JaLa Ghar Mera
Dee Gai Kiss Ko Saza, Aur Khata Kis Ki Thi.

Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gi ek din

Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gi ek din
Tumhare dil mai utroon ga mohabbat ki sada ban kar,

Mere josh-e-janoon par sari khalqat mujhko takti hai
Zara tum bhi nazar dalo na bethoo yun Khuda ban kar,

Tumhain yeh raaz batla doon k aksar chand ratoun main
Teri aangan mai aata hun sitaroun ki zeeya ban kar,

Jigar ka khoon laya hoon tere singhaar ki khatir
Hatheli par racha leyna ye mehkey ga Hina ban kar.

Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha

Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
Dast-e-katil bhi mujhy dast-e-HinA lgta tha,

Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
Han wo shaks mohabt ka KHUDA lagta tha,

kanton bhari shakh nazar aata tha kabi
Phool lagta tha kabi baad-e-saba lagta tha,

Ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
Main jisy sare zamany sy bura lgta tha,

Us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
Sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha.

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main,

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main,

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main,

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main,

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main,

Mohabbat Poetry, Heart Touching Poetry, New Urdu Poetry, Latest Urdu Pictures Poetry, Urdu Poetry, Urdu Pictures Poetry, New Poetry, Urdu Ghazal, New Ghazal,


Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte
Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte
Ek baar yun kisi ko keh ker apna
Daman phir uss se churaya nahi karte,

Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,

Do qadam saath chal kar jo judda ho jayen
Aise logon ko toh humsafar banaya nahi karte
Kiss tarha guzarti hogi zindagi unn ki
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte.

Jo Meri aankhon se Khuwab dekho

Jo Meri aankhon se Khuwab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay,

K Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay,

K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh
Mere Dukhon ki kitaab hain yeh,

Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain,

Pinapti Hain In main Vahshatain see
Aziatain In main Photti hain,

Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot'ti hain,

Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava,

Rahen Aatish hain khuwab Mere
Khayal sare Jhulaas gay hain,

Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki,

Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay.

Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna

Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna
Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna,

Mujhy jis se thi muhabbat, use thi ajab si adat
Kabhi mounh phair lena, kabhi guftugo na karna,

Maine chaha tha kisi ko, mera haal kya hay dekho
Jo kiya qusoor maine, wo tum kabhi na karna,

Meri ho agar buraayi to naa denaa tum safaai
Mere saath khud ko ruswaa kabhi koobako na karna,

Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna
Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna,

Koi poochhe badnaseebi ki hai intihaa bhi koi
To meri misaal denaa to mujhe namona karna.

Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut

Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,

Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,

Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaaun use

Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaaun use
Hhisaar-e-zaat se baahar nikaal laaun use,

Vo jal raha thaa kari dhuup ki tamaazat mein
Milaa jo ab to ohrhaa duungaa apani chaa'onn usey,

Ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad- e-wafaa
Wo aazamaaye mujhe aur main aazamaauun use,

Wo shahar shahar chiragan sahi magar ek din
Hawayein yaad dilayeingi apnaa gaana usey,

Wo apne khuwab mein shaayad mujhii ko dekhta ho
Main tashnaa lab sahi sote mein kyaa jagaaun usay.

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya,

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya,

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya,

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya,

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya.

Kabhi aajao tum pal bhar ko

Kabhi aajao tum pal bhar ko
Mujhe tum se batien krni hain,

Kuch ghum k geet sunanay hain
Kuch raaz hain jo batlanay hain,

Kuch dil ko b batlana hai
Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain,

Kuch dil se yaadain dhoni hain
Kuch naatay nai bnanay hain,

Jo sher likhay hain teri furqat mein
Kuch sher tumhe wo sunanay hain,

Kuch dard sunanay hain dil k
Kuch piyar ki batien krni hain
Kabhi aajao tum pal bhar ko.

Rahte hain unke khayalon me

Rahte hain unke khayalon me
Ab neend mujhe aati nahi,

Hanste hai ab jab bhi hum
Bas yaad unhi ki aati hai,

Wo uski meethi muskan
Humara dil dhadkati hai,

Jagte sote har pal hi
Unki yaad hume tadpati hai,

Bas ek jhalak unki paakar
Hum khush ho jaaya karte hain,

Jab bhi wo aate hain saamne
Hum chup ho jaya karte hain,

Bolta hai per dil mera
Kuch bol sake to tu kah de,

Per sochta hoon main
Is baat se, mera dil use na kho baithe,

Wo dost nahi mera sab kuch hai
Ye kaun use batlaye,

Kaas waqt ke saath hi
Wo apne aap samajh paaye,

Ay ab teri yaad me
Kisi kaam me ruchi nahi,

Dil me tum, dhadkan me tum
Aur baat kisi ki bachi nahi,

Rahte hain tumhare khayalo me
An neend mujhe aati nahi.

Kabhi aajao tum pal bhar ko

Kabhi aajao tum pal bhar ko
Mujhe tum se batien krni hain,

Kuch ghum k geet sunanay hain
Kuch raaz hain jo batlanay hain,

Kuch dil ko b batlana hai
Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain,

Kuch dil se yaadain dhoni hain
Kuch naatay nai bnanay hain,

Jo sher likhay hain teri furqat mein
Kuch sher tumhe wo sunanay hain,

Kuch dard sunanay hain dil k
Kuch piyar ki batien krni hain
Kabhi aajao tum pal bhar ko.

Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna

Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna
ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain,

Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna
ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain,

Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina
ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain,

Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna
ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain,

Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna
ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain.

Jwand marawar shawe de janan marawar shaway dai

Jwand marawar shawe de janan marawar shaway dai
Khudaygo che da zrra na me daa zaan marawar shaway dai,

Bya seelay tawjana da ghazab ghazab alwat kawee
Khkari da ghareeb na charta khan marawar shaway dai,

Zar raza sheen stargia pa myanz ke gati mate ka
Nan da musalman na musalman marawar shaway dai,

Sa pa toqo toqo ke salgo rana newale dai
Nan rana seena ke yaw ARMAN marawar shaway dai,

Dera muda oshwa che zamong kali ta na razi
dasi rata hkaree Ghani khan marawar shaway da.

Zamung Pa Kali K Tar Osa Da Khabara Kegi

Zamung Pa Kali K Tar Osa Da Khabara Kegi
Che Faisaly Da Nasibono Charta Bara Kegi,

Za Da Di Khalko Sara Dira Ziata Meena Laram
Kho Da Di Khalko Da Zehnono Na Me Yara Kegi,

MULA Ta Waya Mung Da Zikar Mikar Khalak Na Yu
Zamung Da Zruno Tasali Kho Pa Sandara Kegi,

Razai Che Tol Olas Yaw Dasy Jang Ta Mla Otaru
Che Be_Barudo Be_Topaka Be_Lakhkara Kegi,

Mung Pa Hagha Sprli Sparli JaNaN Sheruna Liko
Che Ye Da Gulo Baranuna Da Nazara Kegi.

Raaza kho os da Meeni lewani Haghasi na di


Da kali Akhtarona ao Sparli haghasi na di,

Ka Yaad de shi no hagha shor masti ao patpatoni
Hujre, Laare koose poole Lakhti haghasi na di,

Zanoona d Nafrat pa saadaroono k ranghari
Haalaat gware da kali os beekhi haghasi na di,

D Zaat d daa'irey na bahar sok hum Qadam nagdi
Us hagha Cham Gawand ao khpal Pradi haghasi na di,

Pa Laara ye D zaan sara jaral ao da ye wayel
Da Mor meena hagha da kho Bachi haghasi na di.

Pa khpal sherono shayeran sezama

Pa khpal sherono shayeran sezama
Za da de dir da tol zwanan sezama,

Pa jenako pasi che dar pa dar v
Da jenako da tor khkaryan sezama,

Che mena kai hagha sary me yar dy
Be meni khalk kha pa jar sezama,

Che sok wafa kri za qurban tri na sham
Bewafa khalko tol yaran sezama,
.
Mena kawa ishaq khan sara bus
Staso da dwnro raqeban sezama.

Pa khpal sherono shayeran sezama

Pa khpal sherono shayeran sezama
Za da de dir da tol zwanan sezama,

Pa jenako pasi che dar pa dar v
Da jenako da tor khkaryan sezama,

Che mena kai hagha sary me yar dy
Be meni khalk kha pa jar sezama,

Che sok wafa kri za qurban tri na sham
Bewafa khalko tol yaran sezama,
.
Mena kawa ishaq khan sara bus
Staso da dwnro raqeban sezama.

Che daa mung wale paida shu

Che daa mung wale paida shu
Taqaza da jwandon sa da

Za yo dase jawab ghwaram
Che zameer me mutmayen kram

Har sok aoti baote waai
Sa darogh ao sa rekhtya v

Yo Mula bas domra oway
Ibadat da jwand maqsad de

Che sok kha kai hagha kha di
Che sok bad kai hagha bad di

Maa way teek da za manam khu
Zama byala Aqeeda da

Ka sajda da jwand maqsad yee
No lannat pa dase jwand sha

Daa kho sirf tijarat sho
Daa la sanga mohabbat sho

Sajda na shwa mazdori shwa
Yaara daa kho bazaari shwa

Ya zama zameer kafir de
Ya daa khalak lewani di

Za kho daase sajda ghwaram
Che Maqsad ye Mohabbat v.

Da Azaar pa dy bazar ke deer natharsa khalaq osi

Da Azaar pa dy bazar ke deer natharsa khalaq osi
Soak da zrrono Sawdagar di soak haya sara Lobegi, 

Soak da dard na nakhabara da bal dard pory khandegi 
Soak gherath na nakhabara begheratho ke khandegi, 

Kaash che mena vay khkola vy da haya dak nazarona
Na Raqeab aw na ghamaz vy na pa zrrono ke dardona.

Pashto Peotry By Israr Atal, Israr Atal Poetry, Israr Atal Pashto Peotry,

Hagha Malang Sa zorawar dy Che Sta dar La Raze
Staso Kosa Ke Qatal Kege Kho sta War La Raze,

Mena Tal Ghwari Bas Da Yu Khbea Spena Kawe
Raqeb Kho Na Dy Che Sta Kali Ta Kandar La Raze,

Jore mayan sho Sta Pa HOSAN Au Khwago Khabro
Yw Sary Wenam che mudam Dalta Palgar La Rzai,

Da Da Pukhto B Etepaqi Da ka Pohege Pre Deo
Gham Da Naseb Na Hum Sewa Zamunga Sar La Raze,

Kabul Me Wran Sho Pekhawar Rala Pa Our ke Swazai
Har Yu Sary Der Pa hunar Dalta Ke shar La Raze,

ATAL mar Kege Jwandy Kege De Ada Sa da De
Kala She Pata kala Beya Pa manda War la Raze.

Israr Atal Poetry, Israr Atal, Israr Atal Pashto Peotry, Pashto Poetry By Israr Atal,

Wallah da lare lare tamasha ba me kawala 
Da mene sa khabar om gani na ba me kawala,

Da pako muhazzabo khareya ke jund bas da o
Nur hes honar me zda na ko nasha ba me kawala,

Qasam dy more zra me da hecha mal ta kha na ko
Che yu wakh ba me na wa guzara ba me kawala,

Bal hechrta da de pekhawar staro prekhy na ym
Kabul ta che ba larama dama ba me kawala,

Mung tol umar pa mena ke bas dagha sabaq yad ko
Tapa ba ye kawala au tapa ba me kawala,

Yawa na wa che za ye da janata rabahar kram
Da jomo gunahono kapara ba me kawala,

Bas yu ta me ghokhtale sta khkola zama dowa wa
Roja ba me newala ka chela ba me kawala,

Hech rasara na manala dase daroghjan oma 
Qasam ba me ko au ka toba ba me kawala,

Bawar ba me pa cha kawo da jang au aman swal o
Atala bal da cha sara jarga ba me kawala.

Laara Qisa Da Mine Khatma Shwa Munkar Sho JANAN

Laara Qisa Da Mine Khatma Shwa Munkar Sho JANAN
Zama Da Dairy Gharibai Na Che Khabar Sho JANAN,

Qismata Khula De Zama Mata Shi Che Khula Me Ghukhta
Laa Me tre Khula Aghaste Na Wa Mrawar Sho JANAN,

Pregdai Che Swazm Warta Chal Me Da Yaarai Khodalo
Che Pa Chal Poye Sho Nu Pa Noro Noro Sr Sho JANAN,

Laka Da Gul Ye Da Azghan Fitrat Na Sa Khabar Wom
Sumra Che Khkuly Wo No Dumra Sitamgr Sho JANAN,

Zargeya Da Kho Sta Da Meeny Barakat Wo Kana
Nan Che Da Har Cha Warta Paam Sho Bkhtawr Sho JANAN.

Na me Mena charta kary na JANAN Pejanam

Na me Mena charta kary na JANAN Pejanam
Na me peghla yada kary na PEZWAN pejanam,

Sa ajiba ghundy zalmy yam pa zrra gham na laram
Na me tory zulfy lagi, na ARMAN pejanam,

Zrra me mast dy da masty na pa tupuno sar dy
Na khazan yma wahaly na HIJRAN pejanam,

Da janan muhabatuno k His gata nishta
Za muhabat k khpla MOR aw BABA JAN pejanam,

Na da yarai pa chal pohegam na me yari krre da
Za pa mena k bs Dagha Dwa KASAN pejanam,

Pa muhabat k sa faida da ra ta ta owaya
Za "ISHAQ" khu na kamsy aw na LABAN pejanam.

Sumra wakht pas zama ledo la raghla

Sumra wakht pas zama ledo la raghla
Pa zankadan k me salgo la raghla,

Us rata wayee che "ASHNA" senga ye
Che farishta me saa westo la raghla,
.
Bala dewa me che da jwand mrha shwala
Hagha natharsa tash logo la raghla,

Che me tayara janaza shwa kala
Pa speen kafan k me kato la raghla,

Rana pa jwand ba ye nafrat kawalo
Us me pa qabr jarrido la raghla.

Da waham kali ke da fikar pa laila mayin shwe

Da waham kali ke da fikar pa laila mayin shwe
Saada zarhgiya che mayin shve nu pa cha mayin shwe,

Zarhgia de ada de za pa shawgeero qatal kram
Ela qarar drla raaghly wo che bia mayin shwe,

Nor khalaq lg o da yar ghama yarane dapara
Pa dumra kali ke Ela bela pa maa mayin shwe,

Da cha da neme khule khanda de muhabbat oganro
Smra naadan ye A zrhgia pa rekhtia mayin shwe,

Mayin zarhgia che de sa khwakh sho pa khkule yar ke
Pa ghunda zna, pa shen khaal, ka pa haya mayin shw

Israr Atal Poetry,

Da mashumtob da wakht ghusa ba wa sarra ba de kra
Yaad de she taa ba lolakai onewa mra ba de kra,

Taa che ba shunde da ghuse pa wakht ke ochechale
Sa ajiba ghunde khkulaa wa yaw pa dwa ba de kra,

Sta da izhaar na ba maa daghalta qayas aghsto
Khabara har so ka ba landda wa ugda ba de kra,

Dartlam yawaze khu yawaze de raa prikhay na yam
Har zal yaw nawe talwasa wa raasara ba de krra,

Sta makezuno mata chal da intezaar khodalay
Che raarawana ba sahar shwe nu gharma ba de kra,

Daa yaw andaaz de da ATAL na os hum na heireegi
Strge ba khkata de kre mata che waada ba de kra.

Shondey ye jwand bakhey au strgey ye margona kawey

Shondey ye jwand bakhey au strgey ye margona kawey
Zama najana lalay rang pa rang karona kawey,

Da mahlat hr yow dukandaar ba me ashna ta wayel
Da sta mayen ba ta la so porey qarzona kawey?.

Pashto Romantic Poetry,

Yaow che starge darta mrre ki bal khanda da narmo shondu
Dagha zrrah ka da mula we mohabbat pa ki pada she.

Aik chand tanha khara raha

Aik chand tanha khara raha
Mere asmaan se zara prey,

Mere sath sath safar mai tha
Meri manzilon se zara prey,

Teri justajo ke hisaar se
Tere khawab tere khayal se,

Main wo shakhs tha jo khara raha
Teri chahton se zara prey,

Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi to wo b dabi dabi,

Mere lafz poory to thay magar
Teri sma'aton se zara prey,

To chala gya mere humsafar
Zara dekh mur k to ik nazar,

Meri kashtiyan hain jali huwi
Tere sahilon se zara prey.

Iqbal tery dees ka kya haal sunnaun

Iqbal tery dees ka kya haal sunnaun
Bebaqi_o_haq goi sy gabrata hai momin,

Makkari_o_robahi py itrata hai momin
Jis rizq sy parwaz main kotahi ka dar ho,

Woh rizq bary shoq se khata hai momin
Kirdar ka, guftar ka, aamal ka momin,

Qaail nhi aisy kisi janjal ka momin
Sarhad ka hai momin koi punjab ka momin,

Dhondy sy b milta nhi Quran ka momin
Iqbal tery des ka kya hall sunaun.

Jab say gae ho dur hum sy

Tairi judae mai hoe jo halat to daikho
Raton ko nend na ae kuch to socho,

Jab say gae ho dur hum sy
Yaad utna he aty ho kasam sy,

Nahin ata aghar yaqeen is baat ka to
Khwabon mai taire yaadon ke shidat to daiko,

Janty hain pyar mai hoty hain imtaihan bhot
Tairy intaizar ke hai jo tarap to daikho,

Je rahy hain tum bin hum kis tarhan
Ankhoon sy beh rahy ansoon to daikho,

Janty hain nhi hoga yaqeen jab btaen gay hal-e-dil apna
Har dharkan pay likha hai taira he naam
Seeny sy dil nikal kar to daikho,

Mil jae gy ek din hum kuch is tarhan
Khuda nai likha jo mukadar to daikho.

Meri hasrat k janazy ko uthany waly

Meri hasrat k janazy ko uthany waly
Kitny bedard hain yeh loag zamany waly,

Koi apna nahi matlab ki hai yeh dunya sari
Ab kahan milty hain woh yar purany waly,

Main dua go hon sada nendain mubarik tum ko
Hijar ka dard dy k muj ko jagany waly,

Bus yeh he soch kar har bar manata hon usy
Loat k aaty hain kahan rooth k jany waly,

Un k dil main kabhi jhank ker dekho to sahi Saqi
Kitny afsurda hain auron ko hansany waly.

Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din

Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din
Lagta nahi tha us ka dil mere bin,

Dosto se kaha karta tha wo b
Kiya ye b ji sakta hai mere bin,

Mazaq ban jaya karta tha jo Doston mein
khud ko tanha samjta tha wo mere bin,

Isse hade diwangi kahoon ya pagalpan
tasawar me wo batein kiya karta tha mere bin,

Wo mosmoon k badlny se darta nahi tha lekin
bahar mein murjhaya karta tha mere bin,

Ab As tot gain uske aani ki
Lagta hai Jina sekh chuka hai mere bin.

Phele mai or tum the ab hum ho gaye

Phele mai or tum the ab hum ho gaye
Wo mere zakhmo ka marham ho gaye,

Jab se unse meri shana sayi howi
Wo mera sarmaya ghum ho gaye,

Wo sar-e-gulshan sanwer kar agaya
Or sab hi pholo ke sar kham ho gaye,

Dekhiye matlab mera kuch or tha
Ap to ase hi bharam ho gaye,

Ishaq main pher koi uljhan na rahi
Mashware jab unse baham ho gaye,

Jab ayadat ke lye wo agya
Dard-e-dil ke nisbatan kam ho gaye.

Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga

Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga
Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga,

Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj
Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga,

Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay
Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga,

Uski galyon mein hamay koi nahi pehchanay ga
Koi tana koi dashman nahi ay ga,

Dil k darwazay per dastak nahi de ga
Koi nama koi paigham nahi ay ga,

Umr bhar matam mein shehr-e-tamana ho ga
Neend to ay gi aram nahi ay ga,

Magar ae bad-e-saba us se ja kr kehna
Is kahani mein abkoi nam nahi ay ga.

Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha

Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,

Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha,

Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi
Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel se tha,

Koi pegham tha ankhon mein so ankhon mein raha
Masla asal to paigham ki tarseel mein tha,

Is naye nuskhe mein takhreef hui hai warna
Zikr mera bhi kahin pyar ki injeel mein tha.

Mosam-e-hijr k lamhat koi kiya janay

Mosam-e-hijr k lamhat koi kiya janay
Kya guzarti hai meray sath ko kiya janay,

Doriyon me bhi tere sath marasim hen woi
Roz hoti hai mulaqat koi kiya janay,

Log hansti hui ankhon pe yaqeen rakhtay hain
Mere ansuu mere jazbat koi kiya janay,

Ek tu hai jisay malum hen sari batain
Shab-e-hijran mere halat koi kiya janay,

Koi kiya janay k khamoshiyan kia kehti hain
Aay ?Dhani? teri ankhon k sawalat koi kiya janay.

Ab kia likhain hum kaghaz par

Ab kia likhain hum kaghaz par
Ab likhne ko kia baki ha,

Ik dil tha so wo toot gya
Ab tootne ko kia baki hay,

Ik shakhs ko hm ne chaha tha
Ik rait pr naksh banaya tha,

Wo naksh kahan ab baki ha
Ab kia likhain hm kaghaz par
Ab likhne ko kia baki ha,

Wo jin ko ham apni nazmo ka
Unwan bnaya krte thay,

Lafzon ka banaa kar taj mahal
Kaghaz par sajaya kerte the,

Wo shakhs jo hum ko chorr gya
Sab rishton se mun mor gaya,

Ab kia likhain hum kaghaz par
Ab likhne ko kia baki hay,

Ik dil tha so wo toot gya
Ab tootne ko kia baki ha.

Yad aon to bas itni si inayat karna

Yad aon to bas itni si inayat karna
Apnay badlay howay lahjay ki wazahat karna,

Tum to chahat ka shahkar howa karte they
Kis se seekha ulfat main milawat karna,

Hum sazaon k haqdar baney hain kab se?
Tum hi kah do kya jurm hai pyar karna?

Teri furqat main ye ankhain ab tak nam hain
Kabhi aana meray ashkon ki zyarat karna,

Dil main ab bhi hain pyar k diye roshan
Dekh bholay nahi hum teri hasti ki ibadat karna.

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do
Meri doobti kashti ki kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do.

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

bay niazi say, magar kanptey awaz k sath
Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,

younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi
Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota,

Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka
Warna kajol teri ankhon ka na phela hota

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

Meri har aik shab taza azab main guzree
Tumharay baadh tumharay he khawab main guzri,

Main aik phool thi jisay woh rakh ker bhool gaya
Phir tamam umr usee ke kitab main guzri.

Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon

Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon
Meri aankhain batati hain k main sonay se darta hoon,

Meri unggli pakar laina mujhe tanha nahi karna
Ye dunya aik maila hai tumhain khonay se darta hoon,

Jo hansti ho tu kyun palkoon k goshay bheeg jatay hain
Tumhain maloom hai main iss tarah ronay se darta hoon,

Ye jab se khwaab daikha hai tum mujhe choor jaao gee
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon.

Baray-e-naam sahi koi meharbaan to he

Baray-e-naam sahi koi meharbaan to he
Hamare sar pe Bhi hone ko Aasamaan to he,

Teri faraakhdili ko duaen deta hun
Mere labon pe tere lams ka nishaan to he,

Ye aur bat k vo ab yahan nahi rahta
Magr ye us ka basaya hua makaan to he,

Alavaa is k na kuch aur parda rakh mujhse
Fasiil-e-jism mere tere darmiyan to he,

Bichar k zinda nahi rah sakenge ham 2no
Mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to he,

Saron pe saya_figan abr-e-Aarzu na sahi
Hamare pas saraabon ka sayabaan to he.

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar
To hum pal pal kion marte hain ?.

Main usay kaise aikaila chor don is rah main

Main usay kaise aikaila chor don is rah main
Sath jo chalta raha majboriyon k baad bhi.

Ban k khusboo rach gya hy yun mere ehsas main
Door ho paya nahi woh dooriyon k bad bhi

Rafta rafta us ko bhi ye duniya ra'as aa gye
Muskra k woh mila hy ranjishon k bad bhi

Fasly kb kum howay hain rabton k bad bhi
Ajnabi thay ajnabi hain "mohabbaton" k baad bhi.

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain

Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai

Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai

Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho

Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?.

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye,

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye,

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye,

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye,

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye,

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye,

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye,

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye.

Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain

Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain
Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain,

Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain
Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain,

Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai
Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain,

Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan
Toh chashm-e-subah mai ansoo ubharrney lagtey hain,

Wo jab bhi kartey hain us nuqta lab ki bukhiya giri
Fiza mai aur bhi naghmey bikharney lagtey hain,

Dar-e-qafas pay andheray ki mohor lagti hai
Toh Faiz dil mai sitaarey utarney lagtey hain.

Dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein

Dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
Kitna fareb khaye mohabat o pyar mein,

Ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
Guzra tha aj wo be humein dekhta houa,

Hontoon pe muskurahat ankhoon mein hai nami si
Wo samney hai phir be hai kuch kami si,

Tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
Kya jee mein tumarey hai hum khoob samajtey hein,

Ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
Ruk ruk ke baar baar barasti hein ajj bi,

Khushk ankhoon ki lakeerein pata deti hein
Karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga.

Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera

Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yoon hi qarz baraabar mera,

toot jaate hain kabhi mere kinaare mujh mein
doob jaata hai kabhi mujh mein samandar mera,

kisi sehra mein bichhad jaayenge sab yaar mere
kisi jangal mein bhatak jaayega lashkar mera,

bewafa tha to mujhe poochhne waale bhi na the
bewafa hoon to hua naam bhi ghar-ghar mera,

kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
ek hi dhoop ne kumhla diya manzar mera,

aakhiri jur’a-e-pur kaif ho shaayad baaqi
ab jo chhalka to chhalak jaayega saagar mera.

Rang da Gulab ba sa vi, Pashto Romantic Poetry,

Rang da Gulab ba sa vi
Khwand da Sharab ba sa vi,

Che de Kukai ta gorom
Speny Spogmay ta gorom,

Sta da Shabab pa makhke
Da cha shabab ba sa vi,

Che sta Khabare awram
Laka Sandare awram,

Sta da awaz pa makhke
Tang da Rabab ba sa vi,

Che de Jamal ta goram
Laka Mashaal ta goram,

Sta da Jalal pa makhke
Rustam Sohrab ba sa vi,

Sta da Zulfaano na zaar
Da sro Labano na zaar,

Sta da Khalono makhke
Gohar Nayab ba sa vi,

KHIYALA che ta owenam
Goya dunya owenam,

Sta da Khaist pa makhke
Khaista Mahtaab ba sa vi.

Pashto Poetry, Pashto Sad Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto New Poetry, Sad Pashto Poetry, Sad Poetry, Heart Touching Poetry,

Ma lag Zan Ta Ranizdy Kra
Tol Ghamona Rana Her Kra,

Bas Sta Noom De Rata Yad V
Nor Nomona Rana Hèr Kra,

Pa Khpal Ishq Ke Me Majnun Kra
Nor Ishquna Rana Hèr Kra,

Ma D Gul Pa jaba Poh Kra
Nafratona Rana Her Kra,

Pa Tandi Bande Me Kh’kul Kra
Azabona Rana Hèr Kra,

Ma IMDAD sara pukhla sha
Nor sochona rana her kra.

Pashto Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Sad Poetry, Heart Touching Pashto Poetry, Sad Pashto Poetry,

Pa jarha ba me yaran v za ba nayam
Pa sparle ki ba khazan v za ba nayam,

Ranga ranga guloona har khwa ba zarghon v
Pa chaghar ba bulbulan v za ba nayam,

Da watan ba rana pati mirati v
Zama watan ba Qabristan v za ba nayam,

Pas la marga ba zama khabari kegi
Dair ghamgin ba me dastan v za ba nayam,

Za ba na yem bia ba jaray ma ba ghwaray
sry lambay ba da hijran v za ba nayam,

Be parwa dilbara rasha ka didan kry
Bia pa zrha ba de arman v za ba nayam
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...