Urdu Poetry

 Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, 
Urdu Images Poetry, Urdu Pictures Poetry, Urdu Poetry,
Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, 
Urdu Images Poetry, Urdu Pictures Poetry, Urdu Poetry,

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat, Latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat
Labon Pe Apne Saja Saja k

Woh Narm Lehjay main baat karna
Adaa Say Nazren Jhuka Jhuka k

Woh Aankh Teri Shararti Si
Woh Zulf Maathay Pe Naachti Si

Haya ko Chehre Pe Phir Sajana
PhoOl Chehra Khila Khila k

Woh Haath Horon k Ghar hn Jaisay
Woh PaOn Pariyoun k Par hn Jaisay

Nahi hai Teri Misaal Jana
Main thak Gaya hn Bata Bata k. 

Kehny ko main ek bat kehna chata hu


Kehny ko main ek bat kehna chata hu
Muje tum sy mohabbat hai

Meri arzoo tum ho meri dharkan tum ho
Mery dil main basti ho meri zindgi tum ho

Jan kar b anjaan ban jati ho
Q humy itna tarsati ho

Kabi mil jyo to zindgi guzar jye
Aysi kon si majbori hai jo tum sharmati ho

Chalo rehny do ye sab baty
Muje kuch kehna agar tum maan jati ho

Muje tum sy mohabbat hai
Muje tum sy mohabbat hai.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, , Main Aisi Mohabbat Karta Hoon

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon 
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho 

Tum Jahan Peh Beth K Jati Ho 
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon 

Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon 
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon 

Tum Jis Se Huns K Milti Ho 
Main Us Ko Dost Banata Hoon 

Tum Jis Rustay Par Chalti Ho 
Main Us Say Aata Jata Hoon 

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon 
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho 

Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho 
Wo Khuwab Sarhanay Rakhta Hoon 

Tum Say Milnay Julnay K 
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon 

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon 
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho 

Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho 
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho 

Main Waheen Peh Baytha Rehta Hoon 
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon 

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon 
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho 

Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main 
Palkon Say Moti Chunta Hoon 

Koi Lums Agar Choo Jaa A To 
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon

Sawal-E-Muhabbat

Tum Jehan Bhi Beth Ker Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagata Hoon 

Main Waheen Per Baitha Rehata Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon

Main Aisi Muhabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho

Jis Bagh Main Subh Tum Jaati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho

Jo Shakh Tumhein Choo Jati Hai
Jo Khushbu Tum Ko Bhaati Hai

Wo Oas Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai

Wo Titli Choom Kay Phooloan Ko
Jo Tum Sai Milnay Aati Hai
Wo Tum Ko Choomnay Aati Hai

Jawab-E-Muhabbat

Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kartay Ho

Tum Jab Bhi Ghar Per Aatay Ho
Aur Sab Sai Batein Kartay Ho

Main Oat Sai Parday Ki Jaanah
Bas Tum Ko Daikhti Rehti Hoon

Ik Tum Ko Daikhnay Ki Kahtir
Main Kitni Pagal Hoti Hoon

Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya, Ghanti Phone Ki Bajti Ho

Main Sab Kuch Chore Kay Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paon To 

Ji Bhar Kay Ronay Lagti Hoon

Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Mehfil Main Kaheen Jab Jana Ho

Kaproan Ka Selection Karna Ho
Rung Bahut Sai Samnay Bikhray Hoon

Us Rang Pai Dil Ajata Hai
Wo Rung Tum Ko Bhata Hai

Main Aisi Muhabbat Karti Hoon

Rozana Apnay College Main 
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Huay

Ya, Break Kay Khali Ghantay Mein
Sakhion Sai Batein Kartay Huay

Mairiay Dehaan Main Tum Aajatay Ho
Main, Main Nahi Rehti Jaanah

Main Tum Mein Gum Ho jati Hoon
In Ankhoan Main Kho Jaati Hoon
Bas Tum Mein Gum Ho Jati Hoon

Main Aisi Muhabbat Karti Hoon

Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Tumharay Ikhlaas Se Muhabbat Ki Hai Main Ne,

Tumharay Ikhlaas Se Muhabbat Ki Hai Main Ne
Tumharay Ehsaas Se Muhabbat Ki Hai Main Ne

Aaj Tum Mery Pass Nahi Ho Lekin Phir Bhi
Tumhari Yaad Se Muhabbat Ki Hai Main Ne

Kabhi Tum Ne Bhi Mujhe Yaadon Me Basaya Hoga
Un Khubsurat Lamhaat Se Muhabbat Ki Hai Main Ne

Tum Se To Milna Ab Khuwaab Sa Lagta Hai Mujhe dost
Lekin Tumharay Us Intazaar Se Bhi Muhabbat Ki Hai Main Ne.

Sad Love Poetry, Sadest Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Faasla Itna Barhane Ki Zarurat Kya Thi,

Faasla Itna Barhane Ki Zarurat Kya Thi
Tujhe Mujh Se Rooth Kr Janay Ki Zarurat Kya Thi

Ab Jo Mujh Se Rooth Kar Udaas Rehtay Ho
Apna Haath Mere Haath Se Churrane Ki Zarurat Kya Thi

Dunya Kab Kisi K Gham Ko Apna Gham
Samajhti Hay
Tujhe Apna Gham Dunya Ko Dikhane Ki Zarurat Kya Thi

Main Aaj Tak Is Baat Ko Nahi Samajh Payi
Jab Sath Tumhare Main Thi To Tum Ko Zamane Ki Zarurat Kya Thi.

Chura Liya Hai Tum Ne Hum Ko Humaray Hi Wajood Se, Sad Love Poetry, Sadest Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal,

Chura Liya Hai Tum Ne Hum Ko Humaray Hi Wajood Se
Ab Dhoondtay Hain Hum Apne Ap Ko Tumhari BaatOn Me

Khoo Gaye Hum Kuch Is Tarha K Dekhtay Hi Rahey Tumhain
Lekin Jee Na Bhar Saka Kiya Nasha Hai Tumhari AankhOn Me

HoontOn Pe Jo Tabassum Khila Karti Hai Tumharay Aksar
SochOn Me Dekh K Hum Ghum Howe Tumhari YaadOn Me

Jab Tum Pass Hotay Ho toO Aesa Lag Raha Hota Hai Hum Ko
Dheeray Se Utar Rahay Ho Humari Mad-Bhari SaansOn Me

TarS Gaye Hain Hum Ab toO Is Dil Ki Hasrat Me 'dost'
K Kuch Pal K Liye Tum Aajao Ab Meri In BaanhOn Me.

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein K Meri Nazar ko Khabar Na Ho

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein K Meri Nazar ko Khabar Na Ho
Mujhe Ik Raat Nawaz Day Mager Us K Baad Saher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai Mujhe Ye Bhi Sift Aata Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karon To Meri Dua Mein Asar Na Ho

Mere Baazuon Mein Thaki Thaki Abhi Mehwe Khawab Hai Chandani
Na Uthe Sitaron Ki Palki Abhi Aahaton Ka Ghuzar Na Ho

Kabhi Dhoop Day Kabhi Badliyan Dil-O-Jaan Se Dono Qabool Hain
Mager Us Jahan Mein Na Qaid Kar Jahan Zindagi Ka Ghuzar Na Ho

Kabhi Din Ki DHoop Mein Jhoom Kar Kabhi Shab K Phool Ko Choom Kar 
Yun Hi Saath Saath Chalen Sada Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aa Zara Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkanon Mein Basaon Main K Bicharne Ka Kabhi Dar Na Ho.

Laara Qisa Da Meeny Khatma Shwa Munkar Sho janan

Laara Qisa Da Meeny Khatma Shwa Munkar Sho janan
Zama Da Dairy Gharibai Na Che Khabar Sho janan

Pregdai Che Swazm Warta Chal Me Da Yaarai Khodalo
Che Pa Chal Poye Sho Nu Pa Noro Noro Sr Sho janan

Laka Da Gul Ye Da Azghao Fitrat Na Sa Khabar Wom
Sumra Che Khkuly Wo No Dumra Sitamgar Sho janan

"ATALA" Da Kho Sta Da Meeny Barakat Wo Kana
Nan Che Da Har Cha Warta Paam Sho Bkhtawr Sho janan.
.

Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,

Ek Bheegi Sham K Saaey Me Chupkay Se Agar Tum Aajao

Ye Sham Suhaani Ho Jaey Or Rangeen Kahani Ho Jaey
Wo Baat Jo Hum Na Keh Paey Aankhon Ki Zubani Ho Jaey

Koi Pyar Ki Baat Tum Cheerro Kuch Pyar K Geet Hum Sunaen
Main Baithon Taery Pehlu Me Kuch Dil Ki Baatain Ho Jaen

Tum Ungliyon Ko Pheero Baalon Me Or Hum Meethi Neendain So Jaen
Ek Bheegi Sham K Saaey Me Chupkay Se Agar Tum Aajao.

Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,

Tumhen Koi AUr Dekhy Tou Jalta Hai Dil
Bari Mushkilon Sy Phr Sambhalta Hai Dil

Kya Kya Jatan Krty HainTumhen kya Pta
Ye Dil Beqarar Kitna Ye Hum Nhe Janty

Magar Jee Nhe Sakty Tumhary Bina
Humen tum sy pyar kitna ye hum nhe janty
Magar Jee Nhe Sakty Tumhary Bina.

latest Urdu Poetry, New Poetry, Urdu Best Poetry, Alam Poetry,

Kese Kahon Main K Apna Bana Lo Mujhe
BaahOn Me Apni Tum Saama Lo Mujhe

Bin Tumharey Ek Pal Bhi Ab Kat-ta Nahi Mera
Bass Tum Aa Ker Mujh Hi Se Chura Lo Mujhe

Zindagi To Wo Hai Sang Tumharey Jo Guzrey
Duniya K GhamOn Se Ab To Chura lo Mujhe

Meri Sab Se Gehri Khuwahish Ho Jaye Puri
Tum Agar Pass Apnay Bula Lo Mujhey

Ye Kesa Nasha Hai jo Behka Raha Hai Mujhey
Agar Tumhara Hoon Main To Sambhalo Mujhe

Najanay Phir kesay Guzrey Gi Zindagani dost
Agar Apnay Dil Se Kabhi Tum Jo Nikalo Mujhe.

Mery lab-e-dua kia hai woh janta hai

Mery lab-e-dua kia hai woh janta hai
Mera akhir rha kia hai woh janta hai

Pukara hi nhi lekin yeh ik sa'at mery dil ki
Ubharti hui sada kia hai woh janta hai

Usey khoey huey ik umer hui magr aj bhi
Mery dil ki ek ek adaa kia hai woh janta hay

Main bikhar gaya main ujar gaya, main kidher agya
Mera ab rhaa kiaa hai woh janta hai.

Safar_e_Wafa ki Raah me Manzil jafa ki thi

Safar_e_Wafa ki Raah me Manzil jafa ki thi
Kaghaz ka GHAR Bana ke bhi Khawahish Hawa ki thi

Thi Jugnoon k Shehar mein Taaron Se Dushmani
Mehboob Chaand tha aur Tamana Subah ki thi

Tum ne to ibadat ka Tamasha Bana diya
Chahat Namaaz ki thi par Aadat Qaza ki thi

Me ne to Zindagi ko Tere Naam likha tha
Shayad mager kuch aur hi Marzi khuda ki thi

Dard he Dena tha to pehle Bata Daite
Humko bhi AZAL se he Tamana SAZA ki thi.

Tuje Orhon Ya Tera Libaas Ho Jaaon

Tuje Orhon Ya Tera Libaas Ho Jaaon
Tere Ragon Mein Dhal Kar Ek Ehsas Ho Jaaon

Ek Raat Jo Mile Muje Teri Zaat Se
Tu Samander Bane Aur Mein Payas Ho Jaaon

Tere Wojood Se Hi Mere Chehre Pe Hai Khushi Ki Dhanak
Tera Chehra Na Dekhon To Udaas Ho Jaaon

Faqt Itni Si Khuwahish Hai Teri Zindgi Mein Shamil Ho Jaaon
Phir Bhalay Qissa Banu Ya Qiyaas Ho Jaaon

Tere Lab Tere Hath Mere Ek Ek Naqsh Amar Kar Le
To Muje Bhool Na Paye Mein Itna Khass Ho Jaaon

Hanste Hein Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log

Hanste Hein Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log
Milte Hein Yunhi Mil Kar Juda Ho Jate Hein Log

Pal Do Pal Ki Muhabbat Ko Umar Ka Saath Samjhna 
MUHABBAT Bi Karte Hein Aur Khafa Bhi Ho Jate Hein Log 

Naseeb Mein Pyar Na Tha Jo Mujhe Mila Hi Nahi
Kar K Izhaar_E_Muhabbat Bhi Beparwaah Ho Jate Hein Log

Ab Kis Say Shikwa Karen Apni Muhabbat Ka Aye Dil
Kar K Wafa K Vaadey Bewafa Ho Jate Hein Log

Tere Nagme Teri Baaten Sunne Ki Massarrat hHi Aaj Bhi

Tere Nagme Teri Baaten Sunne Ki Massarrat hHi Aaj Bhi
Tere Tassavur Se Mere Lamhon Me Hararat Hai Aaj Bhi

Yu To Maslihat e Jahan Se Hame Fursat Nahi Milti
Tere Khayalon Me khoye Rehne Ki Fursat Hai Aaj Bhi

Mere Din Ko Teri Raaton Ki Zarurat Hai Aaj Bhi
Teri Agosh Me Khud Ko Bharne Ki Gurbat Hai Aaj Bhi

Mere Khwabon Ko Teri Haqeeqat Se Shikayat Hai Aaj Bhi
Phir Bhi Mehboob Mujhe Tujhse Mohabbat Hai Aaj Bhi.

Tu nahi janta iss dil ne teri ebadat ki hai

Tu nahi janta iss dil ne teri ebadat ki hai
Tujh ko maanga hai sada rab se hasrat ki hai

Maan le tu ye sanam jaan le chahat meri
Sari duniya se alag tujh se chahat ki hai

Har taraf tera hi jalwaa hai jidar bhi dekhu
Meri diwaangi ne dekho kesi meri halaat ki hai

Meri rag rag me samaya hai pyaar teraa
Meri har saans ne hai ye kaisi ulfat ki hai

saans me meri tu hi rooh me tu basta hai
Tu nahi janta kitni is dil ne mohabbat ki hai

Uljhey To Talkhion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey

Uljhey To Talkhion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey
Tootay To Kirchion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey

Nafrat Hui Kisi Se To Be-Inteha Hui
Chaha To Chahton Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey

Hum Ne Khuda se kuch Bhi Na Maanga Magar Usay
Maanga To Siskion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey.

Kabhi Khamosh Betho Ge Kabhi Kuch Gungunao Ge

Kabhi Khamosh Betho Ge Kabhi Kuch Gungunao Ge
Main Utna Yaad Aaon Ga Jitna Mujhe Bhulao Ge

Koi Jab Poch Bethe Ga Khamoshi Ka Sabab Tum Se
Bohot Samjhana Chaho Ge Magar Samjha Na Pao Ge

Kabhi Dunya Mukmmal Ban K Aaye Gi Nigahon Mein
Kabhi Meri Kami Dunya Ki Har Ek Sheh Mein Pao Ge

Kahin Par Bhi Rahen Ham Tum Mohbbt Phir Mohbbt He
Tumhein Ham Yaad Aaen Ge Hamein Tum Yaad Aao Ge.

Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar

Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar
Ae Ishq Na Cherr Aa Aa Ke Humein

Hum Bhooley Huon Ko Yaad Na Kar
Pehle Hi Bahut Nashad Hain Hum

Tu Aur Humein Nashad Na Kar
Qismat Ka Sitam Hi Kafi Hai

Ye Taza Sitam Iijaad Na Kar
Yun Zulm Na Kar Bedaad Na Kar

Raaton Ko Uth Uth Kar Rote Hain
Ro Ro Ke Dua’ein Karte Hain

Ai Ishq Ye Kaisa Rogg Laga
Jeete Hain Na Zalim Marte Hain

In Khwabon Se Yun Azaad Na Kar
Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar
Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar.

Humari Khushi Ki Khuda Se Fariyaad Na Karna

Humari Khushi Ki Khuda Se Fariyaad Na Karna
Bhula Dena Mujhe Kabhi Tum Yaad Na Karna

Kiya Barbaad Tumne Mujhe Ye Meri Badnaseebi Thi
Iltaja Hai Kabhi Kisi Aur Ko Yun Barbaad Na Karna.

Har kisi ko duniya mein shohratein nahi milteen

Har kisi ko duniya mein shohratein nahi milteen
Zindagi k lamhon ki qeematein nahi milteen

Fatah ki khwahish me amal bhi to laazim hain
Sirf kuch iraadon se manzilein nahi milteen

Faislay ye chahat k aasman pe hote hain
Do dilon k milnay se qismatein nahi miltieen

Deen aur duniya ko sath hi rakhna parta hai
Masjidon me rehne se janattain nahi milten

Maan lo zamanay me aur bhi hain hum jaisay
Hasb-e-aarzoo jin ko chahtein nahi milten.

Gulshan ki bahaaron ne sar-e-aam likha hai

Gulshan ki bahaaron ne sar-e-aam likha hai
Phir usne gulaabon se mera naam likha hai

Behte hue paani pe yeh lafzon ke sitaare
Shayad mere mehboob ne yeh paigaam likha hai

Yeh dard musalsal mere dil mein rahega
Kuch soch kar usne mera anjaam likha hai

Neendon ne kaha khwab se yeh hath milaa kar
Kya apne muqadar mein kabhi araam likha hai

Jisne kabhi meri janib murr kar nahin dekha
Uss shakhs ke haathon mein mera naam likha hai

RAAHI apni toh har raat guzarti hai safar mein
Aankhon ki zanjeeron pe yeh paigaam likha hai.

Elawah Iss K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe

Elawah Iss K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe
Jala K Taiz Hawa Mein Bujha Diya Hai Mujhe

Sitaara Ban K Sulgta Raha Hoon Jis K Liye
Usi Ne Khaak Mein Aa Kar Mila Diya Hai Mujhe

Mein Yaad Rakhta Nahi Hoon Mein Us Ko Yaad Nahi
Mein Bhool Jata Hoon Us Ne Bhula Diya Hai Mujhe

Fana Ka Aakhri Jhonka Guzar Chuka Hai Sahib
K Loh-e-Dil Se Kisi Ne Mitta Diya Hai Mujhe.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...