Dil Ko Qabar Bana kar Jate To Achha Tha, Sad Urdu Poetry, Sad Love Poetry, Sadest Urdu Poetry,


Dil Ko Qabar Bana kar Jate To Achha Tha
Armaanon Ko Isme Dafna kar Jate To Achha Tha

Judai Ki Saza Badi Takleef Deti Hai
Mujhe Deewaron Me Chunwa kar Jate To Achha Tha

Tumhare Baad In Hasraton Ka Kya Hoga
Inhe Kafan Panhakar Jate To Achha Tha

Youn Rota Chhod kar Na Jate Mujhko
Mere Dil Ko Behla kar Jate To Achha Tha

Teri Khatir Chhod Sakte The Zamane Ko
Ek Baar Hame Aazma kar Jate To Achha Tha

Youn Dosti Par Daag Laga kar Na Jate
Rasme-Dosti Nibha kar Jate To Achha Tha

Meri Maiyyat Par Shirqat To Na Kar Sake Lekin
Qabr Ko Phoolon Se Saja kar Jate To Achha Tha

Hamari Aankho Se Nind Chura kar Chale Gaye
Mithi Nind Sula kar Jate To Achha Tha

Sagar Ko Andheron Me Youn Chhod Gaye
Dep Koi Jala kar Jate To Achha Tha.

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansu, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,



Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansu
GhaM Ko Badnaam Kar Gaye Aansu

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya
Aaj To Kaam Kar Gaye Aansu

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The
Aur HuM Thaam Kar Gaye Aansu

HuM Kisike Na The Magar HuMko
Aap Ke Naam Kar Gaye Aansu

Har Kisi Ne Lagaya DaaM
GaM Ko Nilaam Kar Gaye Aansu

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein
Har Taraf Shaam Kar Gaye Aansu

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha
Aur Kuch Kaam Kar Gaye Aansu

Shayri Sirf Shayri Thi
Usko Ilzaam Kar Gaye Aansu.

In Aankhon Mein Jaane Kya Raaz Hai Chupe, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


In Aankhon Mein Jaane Kya Raaz Hai Chupe
Jaane Kaise Kaise In Mein Andaaz Hai Chupe

Shokhiya Bhi Hai Aur Hai Shararatein
Jaane Kaise Kaise In Mein Khwaab Hai Chupe

Sanwar Jaati Hoon Jab Dekhta Hai Wo Mujhe
Jaane Kaise Kaise In Mein Jazbaat Hai Chupe

Sikhaya Hai Inhone Mujhe Khwaab Dekhna
Jaane Kaise Kaise In Mein Sarab Hai Chupe

Ilaahi In Aankhon Ko Door Na Karna Mujhse
Meri Zindagi Ke Saare In Mein Jawab Hai Chupe.

Aankhon ne kaise khwab taraashe hain in dino, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry,

Aankhon ne kaise khwab taraashe hain in dino
Dil per ajeeb rang utarte hain in dino

Rakh apne paas apne ma-o-meher ai falak
Hum khud kisi ki aankh ke taaarey hain in dino

Dast-e-seher ne maang nikaali hai ba raha
Aur shab ne aake baal sanware hain in dino

Is ishq ne hame hi nahee mo'atadil diya
Us ki bhi khushmizagi ke charche hain in dino

Ik khushgawaar neend pe haq ban gaya mera
Wo rat jage is aankh ne kaate hain in dino

Wo qaht-e-husn hai ke sabhi khush jamal log
Lagta hai Qoh-o-qaaf pe rehte hain in dino.

Aankh Jab Ashk Bahaaye To Mujhe Likh Dena, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry,

Aankh Jab Ashk Bahaaye To Mujhe Likh Dena
Jab Meri Yaad Sataaye To Mujhe Likh Dena

Koi Sawan Ki Ghata Jab Tere Chatt Pe Aake
Aag si Dil Mein Lagaye To Mujhe Likh Dena

Shab Ke Sannate Mein Jab Toota Hua Dil Koi
Dard Ka Geet Sunaye To Mujhe Likh Dena

Hath Phir Dekhna Apne Shab-E-Tanhaai Mein
Uski Har Rekha Bulaye To Mujhe Likh Dena

Ay Meri Jaan-E-Jahaan Teri Wafa Ke Moti
Bheegi Palkein Jo Lutayein To Mujhe Likh Dena.

Har shama bujhi rafta rafta, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Sad Love Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Har shama bujhi rafta rafta
Har khwaab luta dheere dheere

Shishaa na sahi pathar bhi na thaa dil
Tut gaya dhirey dhirey

Barso main marasim bantay hai
Lamho main bhala kya tutainge

Tu mujhse bicharna chahye toh
Deewar uthaa dhirey dhirey

Ehsaas hua barbaadi ka jab
Saray ghar main dhool uddi

Aayi hai hamaray ghar main
Pathjhad ki hawa dhirey dherey

Dosti ke wo haath paraaye ho bhi gaye
Ab to duur ka rishta bhi nahi hai

Aati hai meri tanhayi main
Khushboo-e-Hina dheeray dheeray.

Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye, Sad Urdu Poetry, Sad Love Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry,

Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye
Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoye

To Mai b Khush hoon koi us se ja k keh de
Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoye

Mai Muskurata hua Aaine mai ubhrunga
Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoye

Tujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi
Mohabbat ko boht Paaidar karte hoye

Wo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mai
Mai un mai Doob gaya Aitbaar karte hoye.

Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do

Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do
Tumhe gam ki kasam is dil ki veerani mujhe de do

Ye mana main kisi qaabil nahi hoon in nigahon main
Bura kya hai ye hairaani ye dukh mujhe de do

Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai
Koi dil ke liye apni nigehbaani mujhe de do

Wo dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai
Badi sahi hai agar pareshaani mujhe de do.

Udas Shamon Mein Lot Kar Wo Aana Bhool Jata Tha, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Udas Shamon Mein Lot Kar Wo Aana Bhool Jata Tha
Ker K Khafa Mujh Ko Manana Bhool Jata Tha

Inhi Khaslaton Nay Uski Mujhe Bandam Kar Dia
Wo Likh Kar Naam Mitana Bhool Jata Tha

Mat Pooch Muhabbat Mein La Parwahi Uski
Day K Zakhm Wo Marham Lagana Bhool Jata Tha

KITNA DILNASHEEN HOTA THA USKI YAAD KA MANZAR
WO JAB BHI YAAD AATA THA ZAMANA BHOOL JATA THA.

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry,

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar

Main muhabbatoun ka dasa hua mera gham hai hadd say barha hua
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar

Main teri ghazal to nahi hun jo har ik kay lab per saji rahun
Main tow aik misra-e-dard hun mujhay gungunanay ki zid na kar

Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main
Tujhay ilm hai meri jan hai tu mujhay aazmany ki zid na kar.

Meri Sari Zindagi Ko Besamar Us Ne Kia, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry,

Meri Sari Zindagi Ko Besamar Us Ne Kia
Umar Meri Thi Magar Is Ko Basar Us Ne Kia

Main Bohat Kamzor Tha Is Mulk Mein Hijrat K Baad
Per Mujhe Is Mulk Mein Kamzor Tar Us Ne Kia

Rehber Mera Bana Gumrah Kerne K Liye
Mujh Ko Seedhe Raastay Se Dar Badar Us Ne Kia

Sheher Mein Wo Moataber Meri Gawahi Se Huwa
Phir Mujhe Is Sheher Mein Na Moatber Us Ne Kia

Sheher Ko Us Ne Barbaad Ker K Rakh Dia Muneer
Sheher Per Zulm Mere Naam Per Us Ne Kia.

Bhari mehfil main mujhko tujh sa koi sacha nahi lagta, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry,

Bhari mehfil main mujhko tujh sa koi sacha nahi lagta
tu ek pal ke liye bhi meri nazron se door ho acha nahi lagta

zindagi ke iss raah main ee mere humdum hum milenge zaroorat
iske ilawa main kuch aur sochon acha nahi lagta

dil ki baatein zuban par aa jaye to kuch araam mile
kuch baaton ko dil hi dil mian daba dena acha nahi lagta

jab kisi ki baatein kisi ki yaadein, jeene ki wajah ban jaati hai
tab usse ek pal k liye bhio door rehna acha nahi lagta

khawaish apna haal-e-dil lafzon main keh deta hai
par agar lafzon ko bhi na samjjha jaye to acha nahi lagta

log kehte hai khawab wo dekho jo haqeeqat ke rang main dhal sake
khawaish kehta hai khwaab zaroor dekho koi gham nahi 
agar woh haqeeqat ke rang main naa dhal sake

sirf kisi ko paanea hi muhabbat nahi
muhabbat main paane khone ka sauda acha nahi lagta.

Aaj waqt kuch thahra sa laga, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Aaj waqt kuch thahra sa laga
khud me kuch ajeeb si harkat payi hai

ye us bewfa ki nishani hai ya wafa layi hai
Maine khulkar kiya ijhaar e muhbbat usse

usne har baat mujhe chhupayi hai
ye us bewfa ki nishani hai ya wafa layi hai

Har shakhsh ke chehre me nazar aata h uska chehra
ye meri chaht hai ya aankho ne dhokh khayi hai

ye us bewfa ki nishani hai ya wafa layi hai
Mai har ghadi uska karta hu intjaar

khuda ne ye ishq bhi ajeeb banayi hai
ye us bewfa ki nishani hai ya wafa layi hai

Har dua me manga humne khuda se uski wafa
par har pal ki usne mujhe bewfai hai

ye us bewfa ki nishani hai ya wafa layi hai
Aaj vkt kuch thahra sa laga

meri aankh phir se bhar aayi hai
ye us bewfa ki nishani hai ya wafa layi hai.

Mujhey Bay-Khudi Ki Hai Arzoo Mujhey Qurbaton Ka Khumaar De, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Mujhey Bay-Khudi Ki Hai Arzoo Mujhey Qurbaton Ka Khumaar De
Mere Ang Ang Mein Yun Uter Ke Mujhii Mein Khud Ko Utaar De

Tou Jo Por Por Mein Bas Gya Tou Hai Dooriyon Ka Jawaaz Kya
Meri Zindagi Mere Pass Aa Zara Meri Be-Khalii Ko Nikhaar De

Meri Zindagi Pe Moheet Hein Woh Wehshatein Wohi Dooriyan
Mein Khizaan Raseeda Si Sham Hon Mujhe Apne Rukh Ki Bahaar De

Meri Be-Basii Hai Baja Mager Mera Shok Ka Bhi Hisaab Kar
Mein Siyaah Naseeb Jo Hon Agar Tou Mera Aake Naseeb Sanwaar De

Hai Nazer Nazer Teri Justajo Tou Meri Wafa Ki Hai Aabroo
Kabhi Yun Bhi Ho Mere Rubaru Mujhe Jaan Se Hi Guzaar De

Mujhe Es Tarha Se Tou Yaad Aa Teri Yaad Ka Gumaan Na Ho
Tou Mere Khiyaal Mein Yun Sama Mera Hurf Hurf Nikaar De.

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya Kisi Ne Meena Lia

Faraz Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri Charaagh Bhi Na Lia.

Ajab junoon E musafat me ghar se nikla tha, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,


Ajab junoon E musafat me ghar se nikla tha
Khabar nahiN hia K suraj kidhar se nikla tha

Ye kaun phir se unhiN raastoN meN chhoR gaya
Abhi abhi to azaab E safar se nikla tha

Yeh teer dil meN magar be sabab nahi utraa
Koi to harf lab E chaaraagar se nikla tha

Yeh ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
Yahi dhuaaN mere deewar O dar se nikla tha

MaiN raat toot k royaa to chain se soyaa
K dil ka zahr mere chashm E tar se nikla tha

Wo Qais ab jise majnuN pukaarte haiN ‘Faraz’
Teri tarah koi deewaanaa ghar se nikla tha

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey
Kis ko sairaab karey woh kisey pyasa rakhey

Umr bhar kon nibhata hai taaluq itna
Ae meri jaan ke dushman tujhe ALLAH rakhey

Hum ko acha nahi lagta koi humnaam tera
Koi tujhsa ho to phir naam bhi tujhsa rakhey

Dil bhi pagal hai ke uss shakhs se wabasta hai
Jo kisi aur ka hone de na apna rakhey

Kam nahi tama-e-ibadat bhi to hirs-e-zar se
Fuqr to woh hai ke jo deen na duniya rakhey

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan per
Ja khuda meri tarah tujhko bhi tanha rakhey

Yeh qanaa-at hai itaa-at hai ke chahat hai Faraz
Hum to raazi hain woh jis haal mein jaisa rakhey.

Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,

Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi
Mere Aalfaaz main dhalti teri soorat hi rahi

Zehen kehta tha teri shakl bhula kar rakh dun
Par mere DIL ko sada mujh se baghawat hi rahi

Dushman-e-jan bhi mujhe jan se mehboob raha
Teri ulfat ki mere dil pe hukomat hi rahi

Yun to jo chaha zamane me mila mujh ko
Phir bhi aa dekh mujhe teri zaorat hi rahi.

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath

Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath

Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath

Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath

Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath.

Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,


Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti
Khairaat Mein Itni Barri Daulat Nahi Milti

Kuch Log Yuu Hi Shehar Mein Hum se Bhi Khafa Hai
Har Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti 

Dekha Tha Jise Maine Koi Aur Tha Shayad
Wo Kaun Hai Jis se Teri Soorat Nahi Milti

Hanste Hue Chehron se Hai Bazaar Ki Zeenat
Rone Ko Yahan Waise Bhi Fursat Nahi Milti.

Kuch Door Hamare Saath Chalo, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Kuch Door Hamare Saath Chalo
Hm Dil Ki Kahani Keh Denge

Samjhe Na Jise Tum Aankh0n Se
Wo Baat Zubani Keh Denge

Phoolon Se Honth0n Par Jab 
Ek Shokh Tabasum Bikhrega 

Dheere Se Tumhare Kaan0n Mein 
Ek Baat Purani Keh Denge

Izhaar-E-Wafa Tum Kya Jaano
Iqraar-E-Wafa Tum Kya Jaano

Hum Zikr Karenge Auron Ka 
Aur Apni Kahaani Keh Denge.

Jahan pholon k khilna tha wahan khiltay to acha tha, Sad Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry,

Jahan pholon k khilna tha wahan khiltay to acha tha
tmhe ko hum ny chaha tha tmhe miltay to acha tha

mila ha lutf be humko haseen yadon k jhilmil ma
kati ha zndagi tm bin magar kami si ha meray dil ma

meray dil ma agar atay,agar miltay to acha tha
tmhe ko hum ny chaha tha tmhe khiltay to acha tha

koi akar hamay pochay tmhain kaisay bhulaya jae
tmharay khat ko ashkon se shab e gham ma jalaya jae

hazaaron gham aisay he agar miltay to acha tha
tmhe ko hum ny chaha tha tmhe miltay to acha tha.

Uss Say Kya Pochna Safar Ki Thakan

Jis ki Qismat Hi Dar-Badar Tehray 
Woh Bhuja Chand Kis Kay Ghar Tehray

Umar Guzri Sanwaartey Dil Ko
Kaash Woh Dil Mein Lamha Bhar Tehray

Uss Say Kya Pochna Safar Ki Thakan
Jiski Manzil Hi Rehguzar Tehray

Uski Qeemat Azaaab Suraj Ka
Woh Sitara Jo Taa-Saher Tehray

Uss Ki Ankhein Udher Gaye Hi Nahe
Log Kya Kya Na Morr Per Tehray

Hum Say Kaisa Hazer Hawa-e-Safar
Hum Toa Gird-e-Raah-e-Safar Tehray

Jukh Kay Chomey Na Kyun Falak Mohsin 
Jab Sinaan Par Kisi Ka Sarr Tehray.





Tumhari an-kahi baatien, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Tumhari an-kahi baatien
tumhari an-kahi ghazlien

Jab bhi Mai gun-gunata hoon
Tum akser yaad aati ho

Tumhara wo bichar jana
bichar k phir se mil jana

Meri khamosh baaton ko bhi
sun-na aur samajh jana

Mai Jab mehsoos krta hoon
tum akser yaad aate ho

Tumhara wo rula daina
Satana aur mana lena

kuch chupa kar bhi bata dena
Ye soch ke Jab bhi Mai muskurata hon

tum akser yad aate ho
Tum akser yaad aaty ho.

Tu kisi aur ko dekhe muskuraya mujhe acha nahin lagta, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Tu kisi aur ko dekhe muskuraya mujhe acha nahin lagta
dil ka dard kisi aur ko sunaye mujhe acha nahin lagta

tere kareeb aane k liye taras rahi hon main kab se aur
tu jab auron ko kareeb laye mujhe acha nahin lagta

mana k hai tere kai chahne wale ee mere sanam
lekin tu kisi aur ka dil behlaye ye mujhe acha nahin lagta

dekhna meri aur bhari mehfil me chupke se aur nazar pher lena
tu mujhe se yun nighahoein churaye mujhe acha nahin lagta

har dard ki parwaah nahin karti main mere sanam lekin
tu kisi aur ki ghazal gungunaye mujhe acha nahin lagta

mana k boht buri hon main, nahin salika mujhe jeene ka
lekin tu mujhe yun pakhon pe bithake nazron se giraye.

Bheer may aik ajnabi ka saamna accha laga, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Bheer may aik ajnabi ka saamna accha laga
sub se chup ker woh kisi ka dekhna accha laga

surmae ankhon k neechay phool se khilne lage
kehte kehte,kisi ka sochna accha laga

baat to kuch bhi nahi thi laikin uska aik dum
haath honton per rukh kar rokna accha laga

dil may kitne ahed baandhe the bhulane k usne
woh mila to sub irade torna accha laga

chae may cheeni milana us ghari accha laga
zare-lub wow muskurata shukriya accha laga

is adae jan ko may bura kaise kahon
jub bhi aya saamne woh bewafa accha laga.

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, latest Urdu Poetry,


Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho
Miloon To Paas Se Chup Chaap Guzer Jate Ho

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho.

Wo meri qasm leta nahi ilzam samajh kar, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, latest Urdu Poetry,


Wo meri qasm leta nahi ilzam samajh kar
Or dey deta hy apni qasm inam samaj kar

Wo janta hy mujy us sy kitni Mohabat hy
Phir bhi Guftogu karta hy anjaan samajh kar

Mainy usay apny dil ki dharkan main basaya hai
Or wo dil main rakhta hai mujy mehman samajh kar

Agar usay hum sy mohabbat nhe to na sahi
Magar Q ilzam daita hai gumnam smj kr

Mainy apni sari khushiyan usky nam kr di
Or wo hamain pyar karta hai ehsaan samajh kar.

Mera Lafz Lafz Dua Dua, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry,

Mera Lafz Lafz Dua Dua
Mery Ansuon Se Dhula Hua

Tujhe Zindagi Ki Woh Sehar Milay
Tujhe Aainon Ka Safa Milay

Tujhe Dard-o-gham Na Kabi Chu Sakay
Jan May Sama Lon Tujh Ko

Tu Jo Rothay Kabi Mujh Se Meray Dil K Malik
Sari Duniya Se Khafa Ho Kar Mana Loon Tujh Ko.

Mary wajood ko tu samait lay, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Romantic Poetry, latest Urdu Poetry,


Mary wajood ko tu samait lay
ma bikhar rha hon zara zara

mary aansooon ko b ponch lay
Main sisak rha hon zara zara

mari cahaton ko samait kabhi
mari hasratoon ka khayal kr

Tary deedar ki khatir
main tarap rha hon zara zara

apny pyar ka ik diya
mari raah ma too jala kabhi

andhayri raat ka naag mujhy
das raha ha zara zara

Aa dil pay mary hath rakh
mari dharkanoon ko qarar day

Mari sance to ha chal rhe
per jee rha hon zara zara.

Ajnabi Hwaon Mai Teri Khushbu Ayi Hai, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Ajnabi Hwaon Mai Teri Khushbu Ayi Hai
Ya Mere Khayal Mai Hi Tu Ayi Hai

Kon Jane K Kone Tote Ga Aaj
Hqeqat Mere Khwabon Ke Rubro Ayi Hai.



Hijar k Moasam Main Baresna Kesa, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Hijar k Moasam Main Baresna Kesa
Ek Sahra sey Samundar ka Guzerna Kesa

Ay Mery DiL na Pareshan Ho Tanha Ho ker
Wo tery Sath chala Kb ta Bicherna Kesa

Loag Kahty hein k Golshan ki Tabaahi Dekho
Main tou Veeran sa Jungla ta Ujarhna Kiasa

Daikhne main tou koi Dard nai Dukh Nai
Pir ye Ankhoan Me Ashkon ka Ubherna kesa

Bewafa Kahney ki Jorrat b Na kerna Ay DiL
Os ny IQrar kia kb ta Mokarna Kaisa.

Abi kero Mujsy Koi Bat Phr So Jana, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry, latest Urdu Poetry,


Abi kero Mujsy Koi Bat Phr So Jana
Jub Dhal jae ye Raat Pir So jana

Muddet sy Piyasa Hun main Terey Deedar ka
Jb Bhuj Jae Meri Pyas Phr So jana

Koch Tm Satao Koch Main Sataon Tm Ko
Aaj Kuch tou Ho jae baat Phr So Jana

Abhi tou Jaag Rhey hein Chaand Sitarey
Jb So Jaye ye Kainat Phr So Jana.

Wo larki shayad pagal thi, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Wo larki shayad pagal thi
Din raat hi gum sum rehti thi

Kuch sharm o haya ka pekar thi
Kuch narm mizaji rakhti thi

Ankhon me neem nasha sa tha
Baataon se deewani lagti thi

Hamraz na tha us ka koi
Bas khud se batain krti thi
Ik sharm k anchal mein aksar

Jazbat chupaye rakhti thi
Darti thi juda ho jane se
Ya pyar se shayed darti thi

Kya sabar tha us deewani ka
Kya zabt e mohabbat rakhti thi

Hai rashk mujhe us pagli pay
Kya khoob mohabbat karti thi.

Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, latest Urdu Poetry,


Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi
Hum jis pe mitt gae thay mohabbat usay bhi thi

Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar
Dunya se meri tarha shikayat usay bhi thi

Ye soch kar andhere galay se laga liye
Raaton ko jaagne ki aadat usay bhi thi

Wo ro dia tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi.

Mere humsafar mere saath tum, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, latest Urdu Poetry,


Mere humsafar mere saath tum
Sabhi mausamon mein raha karo

Kabhi dhoop ban ke gira karo
Kabhi shaam ban ke chhaya karo

Kabhi chaand ban ke dikha karo
Kabhi taaron mein hansa karo

Kabhi rangon mein tum dikha karo
Kabhi khushbuon se chhua karo

Kabhi nazron se tum chupa karo
Kabhi sapnon mein bhi mila karo

Mere humsafar mere saath tum
Sabhi mausamon mein raha karo.

Haal puchha hai unhone mera, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Haal puchha hai unhone mera
to jawab likh raha hu

Dard me raat bhar jagta hu
Teri yaado ke saye se bhagta hu

Baki mai thik hu
Aansuo ki katar aankho se tootti nahi

Intzar hai mout ka magar saanse hai k
mujhse ruthti nhi Baki mai thik hu

Mahfilo me bhi aalam tanhai ka rehta hai
Har koi aaj kal mujhe pagla aashiq kehta hai

Sahta hu din raat teri judai ka gum
Tu fikar mat kar Me bilkul thik hee hun.

Na Chaho Kisi Ko Itna, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Na Chaho Kisi Ko Itna
Ki Chahat Aapki Majburi Ban Jaye

Chaho Kisi Ko Itna Ki
Aapka Pyar Uske Liye Zaruri Ban Jaye.

Teri Na Mein Bhi, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Teri Na Mein Bhi
Humne Dundh Li Apni Khushi

Tu Agar Haan Keh De
To Baat Hogi Aur Bhi Hanshi.


Unki Muhabbat Ke Abhi Nishan Baki Hai, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Unki Muhabbat Ke Abhi Nishan Baki Hai
Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baki Hai

Kya Hua Dekh Kar Muh Pher Lete Hai
Tasalli Hai Hamari Surat Bhulana Baki Hai.

Meri Jaan Meri Shaan Sab Muhabbat Hai, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Meri Jaan Meri Shaan Sab Muhabbat Hai
Mera Aagaaz Mera Anzaam Sab Muhabbat Hai

Mujhe Muhabbat Se Muhabbat Hai
Yeh Meri Zindagi Ki Zarurat Hai.

Tujhy bhula k jiyun aisi bad-dua bhi na de, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Tujhy bhula k jiyun aisi bad-dua bhi na de
Khuda mujhy ye tahammul ye hosla bhi na de

Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol
Sunay baghair mujhy apna faisla bhi na de

Ye umer meine tery naam be-talab likh di
Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de

Ye din bhi aaingy aisa kabhi socha na tha
Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de

Ye ranjishain to muhabbat k phool hain
Taaluqaat ko is baat per ganwa bhi na de.

Ho Chuki Raat Ab So Jao, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry, latest Urdu Poetry,


Ho Chuki Raat Ab So Jao
Jo Dil Ke Ho Karib Uske Khayalo Mein Kho Jao

Kar Rahe Honge Wo Intezar Aapka
Sapno Mein Hi Sahi Usse Mil To Aao.

Kyun Teri Yaad Reh Gayee Iss Dil Mein, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Kyun Teri Yaad Reh Gayee Iss Dil Mein
Jab Tu Hi Na Mil Saka Mujhe

Maine To Chaaha Tha Dil-O-Jaan Se Tujhe
Par Tune Kyun Thukra Diya Mujhe

Zikr Jab Bhi Tere Naam Ka Hota Hai
Teri Yaad Sataati Hai Mujhe

Aaj Bhi Dil Mein Hai Tere Pyaar Ka Dard
Nam Aankhein Yeh Bataati Hain Mujhe

Gila To Bus In Aankhoan Se Hai
Kyun Tera Deedar Kara Gayee Mujhe

Ik Tees Si Dil Mein Uthti Hai
Kyun Tera Khwaab Dikha Gayee Mujhe.

Quwwat-e-fikr jis mein ghatt jaye, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry,


Quwwat-e-fikr jis mein ghatt jaye
Zehn tareekion mein butt jaye

Dil ghubaar-e-alum mein att jaye
Aadmi zindagi se katt jaye

Aisi deewangi se kia haasil
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil

Ishq aisa to ho k jiski chamak
Dil ki tareeek’ion ko door kary

Fikr ko aabshaar-e-noor kary
Sheesha-e-ghum ko choor choor kary

Aisi deewangi se kia haasil
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil.

Agar mere pyar ko samajhna chahte ho, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Love Poetry,


Agar mere pyar ko samajhna chahte ho
to mere ankho me jhuk kar dekho

Agar pyar ka dard mehsus karna chahte
ho to ye dhadkan ki har awaz ko suno

Tab tumhe pata chalega ki maine tumhe
kis had tak chaha hai.

Na Sona Hai Na Chandi Hai, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Na Sona Hai Na Chandi Hai
Na Heera Hai Na Motii Hai

Muhabbat Do Dilon Mein
Jalta Hua Ek Jyoti Hai.

Main Aksar Usey Kehta Hun, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Main Aksar Usey Kehta Hun
Tum Shor Bahut Machaati Ho

Phir Woh Mujh Se Kehti Hai
Jab Kalaayi Meri Tum Pakdoge

Choodi Toh Meri Khankegi
Choordi Ka Shor Toh Hota Hai

Jab Pyaar Se Mujhe Bulaaoge
Tab Doud k Main Toh Aaungi

Phir Paayal Meri Khankegi
Paayal Ka Shor Toh Hota Hai

Jab Bindiya Meri Chamkegi
Ye Aankh Mein Teri Damkegi

Jazbe Phir Shor Machaaenge
Jazbon Ka Shor Toh Hota Hai

Zulf Meri Suljhaate Hue
Jab Gajre Ko Bikhraaoge

Tab Saansein Meri Mehkengi
Saanson Ka Shor Toh Hota Hai.

Muhabbat Ka Imtihan Aasan Nahi, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Muhabbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Muhabbat Sirf  Paane Ka Naam Nahi

Waqt Beet Jaty Hain Kisi Ke Intezar Mein
Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Saath Nahi.

Har Koi Muhabbat Mein Fana Nahi Hota, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, latest Urdu Poetry,

Har Koi Muhabbat Mein Fana Nahi Hota
Kisi Ko Chahna Koi Gunah Nahi Hota

Wo Puchte Hain Humein Kitna Chahte Ho
Par Pyaar Lafzon Mein Bayan Nahi Hota.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...