Nafrat Ki Aag Ko Mohabat Ke Lahoo Se


Nafrat Ki Aag Ko Mohabat Ke Lahoo Se
Bujha Dena Fitrat Hai Hamari

Ham Tu Wo Deewaney Hain,Jinhen Kisi Ki
Nafrat Sey Bhi Pyaar Hai.

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,


Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do.

Short Urdu Poetry

Mana Ke Me Ne Ghor Se Daikha Na Tha Tumhein
Sooraj Ko Aankh Bhar Ke Koi Daikhtaa Hai Kiyaa ?

Raah-e-Mohabbat

Raah-e-Mohabbat main ajab sa huwa hay haal apna
Na zakham nazar ata ha, na dard saha jata hay.

Ishq

Ishq

Mohsin Naqvi

Muhabbat me Dill ka tootna tum kabhi nhin jaan paao ge
Agar hoti logon me wafa to aj hum udaas na hotey.

Mousam Ki Tara


Ek hum hi they jo khud ko badal na sakey piyar mein
warna yahan to log badla kertay hein mousam ki tarah.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...