Bhari mehfil main mujhko tujh sa koi sacha nahi lagta, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry,

Bhari mehfil main mujhko tujh sa koi sacha nahi lagta
tu ek pal ke liye bhi meri nazron se door ho acha nahi lagta

zindagi ke iss raah main ee mere humdum hum milenge zaroorat
iske ilawa main kuch aur sochon acha nahi lagta

dil ki baatein zuban par aa jaye to kuch araam mile
kuch baaton ko dil hi dil mian daba dena acha nahi lagta

jab kisi ki baatein kisi ki yaadein, jeene ki wajah ban jaati hai
tab usse ek pal k liye bhio door rehna acha nahi lagta

khawaish apna haal-e-dil lafzon main keh deta hai
par agar lafzon ko bhi na samjjha jaye to acha nahi lagta

log kehte hai khawab wo dekho jo haqeeqat ke rang main dhal sake
khawaish kehta hai khwaab zaroor dekho koi gham nahi 
agar woh haqeeqat ke rang main naa dhal sake

sirf kisi ko paanea hi muhabbat nahi
muhabbat main paane khone ka sauda acha nahi lagta.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...