Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gi ek din

Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gi ek din
Tumhare dil mai utroon ga mohabbat ki sada ban kar,

Mere josh-e-janoon par sari khalqat mujhko takti hai
Zara tum bhi nazar dalo na bethoo yun Khuda ban kar,

Tumhain yeh raaz batla doon k aksar chand ratoun main
Teri aangan mai aata hun sitaroun ki zeeya ban kar,

Jigar ka khoon laya hoon tere singhaar ki khatir
Hatheli par racha leyna ye mehkey ga Hina ban kar.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...