Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna

Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna
ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain,

Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna
ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain,

Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina
ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain,

Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna
ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain,

Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna
ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...