Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar
To hum pal pal kion marte hain ?.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...