Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

bay niazi say, magar kanptey awaz k sath
Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,

younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi
Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota,

Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka
Warna kajol teri ankhon ka na phela hota

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

Meri har aik shab taza azab main guzree
Tumharay baadh tumharay he khawab main guzri,

Main aik phool thi jisay woh rakh ker bhool gaya
Phir tamam umr usee ke kitab main guzri.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...