Meri nakam mohabbat ki kahani mat chair


Meri nakam mohabbat ki kahani mat chair
Apni mayoos umangoon ka fasana na suna
Zindgi talkh sahi, zehar sahi, sitam he sahi
Leken is rad-o-gham-o-jabar ki wasa'at ko tu dekh
zulm ki chaoon mein dam torti khalqat ko tu dekh
apni mayoos umangoon ka fasana na suna
meri nakam mohabbat ki kahani mat chair
jalsa gahoon mein ye dehshat zada sehmey anboo
rah guzzaroon pe falakat zada logo k grooh
bhook or pyas se pazmurda siyah fam zameen
tera-o-taar makaan, muflis-o-bimar makeen
noo-e-insaan mein ye sarmaya-o-mehnat ka tazaad
aman-o-tehzeeb k parcham taley qomoon ka fasaad
har taraf aatish-o-aahan ka ye seylaab-e-azeem
nit naye tarz pe hoti hoi duniya taqseem
lehlehatey hoye kheytoon pe jawani ka samaan
or dehkaan k chapar mein na bati na dhowaan
ye falak bos milein dilkash-o-semien bazaar
door shail pe wo shafaf makanoon ki qataar
sarsarate hoye pardoon mein simtey gulzar
dar-o-dewar pe anwar ka seylaab-e-rawan
jaise aik shair madhosh ky khawboon ka jahaan
ye sabhi kyon hai ye kya hai mujhey kuch sochney de
kon insan ka khuda hai mujhey kuch sochney de
apni mayoos umangoon ka fasana na suna
meri nakam mohabbat ki kahani mat chair.



Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, 
Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, 
Urdu Romantic Poetry, Heart Touching Ghazal,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...