Main Ne Har Chand-E-Gham-E-Ishq Ko Khona Chaha


Main Ne Har Chand-E-Gham-E-Ishq Ko Khona Chaha
Gham-E-Ulfat Gham-E-Dunia Mein Samona Chaha
Wohi Afsane Meri Simat Rawaan Hain Ab Tak
Wohi Afsane Meri Simat Rawaan Hain Ab Tak
Wohi Shole Mere Seene Mein Nahaan Hain Ab Tak
Wohi Besood Khalish Hai Mere Seene Mein Hanooz
Wohi Bekar Tamanain Jawaan Hain Ab Tak
Wohi Gaisoo Meri Raton Pe Hain Bikhre Bikhre
Wohi Aankhain Meri Janib Nigraan Hain Ab Tak
Kasrat-E-Gham Bhi Mere Gham Ka Madava Na Hoi
Mere Bechain Khayalon Ko Sakoon Mil Na Saka
Dil Ne Dunia K Har Ek Dard Ko Apna To Lia
Muzamhal Rooh Ko Anar-E-Janoon Mil Na Saka
Meri Takhiyal Ka Sheeraza-E-Barham Hai Wohi Hai
Mere Bhujte Howe Ahsas Ka Aalam Hai Wohi Hai
Wohi Be Jan Irade Wohi Berang Sawal
Vohi Be Rooh Kasha Kash Wohi Bechain Khayal
Aah Is Khashmakash-E-Subha-O-Masa Ka Anjan
Main Bhi Na Kaam Meri Sahi Amal Bhi Nakam.




Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, 
Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...