Koi Aapse pooche kaun hoon main


Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Ek dost hai kaccha pakka sa
Ek jhooth hai aadha saccha sa
jazbaat ko dhake ek parda bas
Ek bahana hai accha sa

Jeevan ka ek aisa saathi hai
Jo door ho ke pass nahin
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Hawa ka ek suhana jhonkha hai
Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le
Kabhi apna toh kabhi begaano sa

Zindgi ka ek aisa humsafar
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai
Yuh toh uske na hone ka kuch gham nahi
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai

Yuh rehta toh mere tassavur me hai
Par in aankho ko uski talaash nahi
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahin.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...