Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay

Woh ker nahee'n raha tha mairi baat ka yaqeen
Phir yoo'n hua k mar k dikhhana parra mujhay

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha
Che'hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay

Us ajnabi say haath milaanay k waastay
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay

Yaadai'n thee'n dafan aisi k bad-az-farokht bhi
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...