Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay


Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay
Hum ab bhe jo zinda hain ehsaan tumhara hay
Jab chhup chhup rotay hain niendon ko tarastay hain
Aisay main humain teri yaadon ka sahara hay
Kehtay hain mohabbat main jaan daitay hain dil walay
Iss rah saiy guzernay ka armaan humara hay
Ab beech sumandar main aaiy hain tau kiya sochain
Kis simt koe kishti kis simt kinara hay
Koch phool k patton main kaantay bhe tau hotay hain
Phir kiya hay ghalat jeewan hum nay jo guzara hay
Manzil he nehi paatay jo chuntay hain rah-e-ishq
Iss payar ke baazi main ik roz khasara hay
Ik rog hay tanhaie ik rog mohabbat hay
Donon ke qarabat nay ik shakhs ko maara hay
Hum dard k maron ke pooch na khaber shaukat
Din raat tarapnay main bas apna guzara hay.




Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Romantic Poetry, 
Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...