Urdu Heart Touching Poetry,

Tujhse bicharr kar kya hoon main, ab bahar akar dekh
Himmat hai to meri haalat, aankh mila kar dekh
Shaam hai gehri, tez hawaa hai, sar pe khari hai raat
Rasta gaye musafir ka ab diya jalaa kar dekh
Darwaze ka paas aa aa kar wapis murrti chaap
Kaun hai iss sunsaan gali main, paas bula kar dekh
Shayed koi dekhne wala ho jaye khairaan
Kamre ki deewaron par koi naqsh bana kar dekh
Tu bhi Munir ab bhare jahaan main mil kar rehna seekh
Bahar se to dekh liya, ab andar jaa kar dekh.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...