Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash

Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash

Har AnjuMan Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par
Janta Hai Koi Kya, JaM Ghaton Ki Kashmakash.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...