Kamal-e-zabt ko may khud bhi azmaaun gi


Kamal-e-zabt ko may khud bhi azmaaun gi
May apne haath se us ki dulhan sajaowngi
Sapurd ker k usay chandani k haato may
May apne ghar k andheroo ko loot aaowngi
Baddan k qarb ko wo b na samaj payee ga
Main dil may roou gi, aankhon may muskuraowngi
Wo kya gaya rafaqat k saray lutf gaye
May kis se rutth sakongikisay manaowngi
Ab oska fan tu kisi or se ho mansoob
May kis ki nazam akele may gungunaowngi
Wo aik rishta e benaam b nahi lakin
May ab b os ke eshaaro per sar jhukaaown gi
Samaa'ato k ghanay janglo ki sansain hay
May ab kabi teri aawaz na sun paaowngi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...