Urdu Ghazal, Urdu Sad Ghazal, Sad Urdu Poetry, Sadest Poetry, Urdu Poetry with Pictures,


Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka,

Phir aa gaya aik naya sal dosto
Is bar bi kisi say december nahin ruka,

Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka,

Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka,

Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka,

Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...