Meri Dhadkan Se Dil Ka Dhadkna Mangoge

Meri Dhadkan Se Dil Ka Dhadkna Mangoge
Ek Din Tum Mujhse Mera Pyaar Udhar Mangoge

Main Voh Phool Hu Jo Tere Chaman Se Na Niklega
Apni Veeran Zindagi Ke Liye Bahar Mangoge

Abhi Dekha Hi Kahan Hai Tumne Meri Mohabbat Ka Asar
Tum Mujhe Ulfat Mein Apni Shamo-o- Sahar Mangoge

Behtar Hai Waqt Se Samjhota Kar Lo
Guzre Waqt Se Phir Kaise Apna Hisab Mangoge

Hum Saath The To Meharba Tha Khuda Tujh par
Ab Kisse Tum Ujale Ke Liye Charag Mangoge

Jab Mousme Gul Bhi Tumhe Kar Dega Ruswa
Laut Kar Tum Mujhse Guzri Bahar Mangoge.

Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, Urdu Poetry,


Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
Mein Phir Aaoyoun Ga Palat Kar Mera Intezaar Karna

Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na Jhalkien
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna

Ussey Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila Nahien Hai Tujh Ko
Yeh Sitarey Aasmaan Kay Kabhi Phir Shumaar Karna

Mere Shaher Ki Fiza Mein Koi Zahar Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khusgawaar Karna

Mein Uthayoun Gaa Na Ihsaan Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ney Hi Daboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna

Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaana, Na Kisi Sey Pyaar Karna

Kabhi Iqtidaar Bakhshey Jo Khuda FAYSAL Tujh Ko
Jo Rawish Hai Qatiloon Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna.

Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Aao hum mil kar ek naya Jahan Banain 
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain 
Jahan Mohabbat ka Raaj ho 
Sar Par Khushi ka Taj ho 
Zindagi pay na Khauf tari ho 
Hifazat aik doojy ki Zimaydari ho 
Nafrat ki Jahan Ghuttan na ho 
Zindagi jahan Kathin na ho 
Chalo mill kar iss Khwab ki tabeer Dhondhain 
Iss Jahan mein Mohabbat ki Jaggir dhondhain
Aao hum mill kar ek naya Jahan Banain 
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain.

latest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal,


Teri yaad ka manzar bhi ajeeb hai
Dur ho kar bhi tu mere kitna kareeb hai
Teri mohabbat to mil gyi isi me khush hu mai
Tera milna na milna ye to sab naseeb hai
Wo itrata hoga tujhe mujhse chhin kar
Magar use kya pta jeet kar bhi har gya mera raqeeb hai
Daulat ka kya aaj teri to kal kisi aur ki hogi
Jiske pas pyar ki daulat nahi wo sabse bda gareeb hai.

Aahista Se Mere Dil Mein Tum Safar Karna


Aahista Se Mere Dil Mein Tum Safar Karna
Mere Veeraan Dil Mein Tum Apna Ek Ghar Karna

Milengi Mohabbat Mein Laakh Ruswaaiyaan Magar
Mohabbat Karke Mere Dost Tum Sabar Karna

Phir Dekhna Kis Tarah Meharbaan Hogi Kismat Tum Par
Ek Baar Tum Bas Mohabbat Ki qadar Karna

Ye halat hamari ho gayi tumse milne ke baad




Ye halat hamari ho gayi tumse milne ke baad 
Zindagi pyari ho gayi hai tumse milne ke baad 

Her cheez me ek ajab rang hai Mohabat ka 
Her cheez pyari ho gayi hai tumse milne ke baad.

Ye tum sy keh dia ks ny, ky bazi har bethy hain hum


Ye tum sy keh dia ks ny, ky bazi har bethy hain hum
Muhabbat mai lutany ko abhi jan baqi hai.

Log har mod par ruk ruk ke sambhalte kyu hai




Log har mod par ruk ruk ke sambhalte kyu hai
Itna Darte hai to phir ghar se nikalate kyu hai

Main na jugnu hu diya hu na koi taara hu
Roshani vaale mere naam se jalte kyu hai

Neend se mera talluq hi nahi baraso se
Khawaab aa aa ke meri chhat pe Tehalte kyu hai

MoD hota hai jawaani kaa sambhalne ke liye
Aur sab log yahi aake phisalte kyu hai.

Chehre pe muskurahato ka dour hai lekin, latest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal,


Chehre pe muskurahato ka dour hai lekin
Shayad ke raha wo bhi pareshaan ho aksar

Ek umar hui chhod k wo shakhs gaya hai
Par dil hai ke is baat pe hairaan hai aksar

Ha zakhm diya hai ye magar uski saadgi
Wo shakhs mere dard se anjaan hai aksar

Is shehar k logo se bhi mere the maraasim
Yuhi nahi ye shehar bhi veeraan hai aksar

Koi to apne haal pe roye kabhi kabhi
Kyu khud pe ye hasta hua insaan hai aksar

Haa daam to maloom nahi par ye pata hai
Bikta kabhi kabhi nahi imaan hai aksar

Ae kaash k insaan ko insaan keh sakoon
Apna bhi to yehi armaan hai aksar.

Khushi to kuch bhi nahi gam cheez hai yaaro, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Khushi to kuch bhi nahi gam cheez hai yaaro
Khafa gum se na hona, gum zindagi hai yaaro

Khushi to rooth jaati hay bewafa yaar ke manind
Kaha gum ke tarha har lamha saath rehti hai yaaro

Rehne do na bujhao chiraag-e-gum yaaro
Yeh mere yaar ki amaanat mere paas hi rehne do yaaro

Na khushi ka ghar, na khushi ka makaan lagti hai
Yeh duniya to mujhe gum ki dukaan lagti hai yaaro.

Suno Hum tum se kuch kehna chahte hai, Sad Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Suno Hum tum se kuch kehna chahte hai
Is tees ko is dard ko hum sehna chahte hai

Jisko kabhi sheesha kabhi aina kehte ho tum
Seene ke us muqaam mein hum rehna chahte hai

Maujon ka daar nahi hai ,sahil se nahi hai pyaar
Bas thamlo hume tum,hum behna chahte hai

Aankhon ne baat karli, nazro ne bhedh khola
Ab honth kaampte hai kuch kehna chahte hai

Kya yaad karoge humko jab paas hum na honge
Tere khawaab mein khayal mein hum rehna chahte hai

Khayal mein tere aks se yeh sab to keh chuke hai
Tere saamne agar ho ijazat kehna chahte hai.

Ye Kya Haal Bana Liya Hai TumNe Apna ?, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry,


Ye Kya Haal Bana Liya Hai TumNe Apna ?
Ab UsKa Bhi Ye Haal Ho Zaruri To Nahi

Haari Hai TumNe Baazi Mohabbat Ki lekin
Zindagi Ki Bhi Baazi Haar jao Ye Zaruri To nahi

Us Pal Mohabbat Par Bahut Naaz Tha Tumko
Ab Har Pal Ye Dohrao Ye Zaruri To Nahi

Zinda Reh Kar Bhi Rasm-e-Mohabbat Ada Ho sakti Hai
Ab Mar Kar Bhi Ye rasam Nibhao Ye Zaruri To nahi

Kabhi Kisi Se Mohabbat na Karna aisi Nasihat Mat Diya Karna
Jo Tere Sath hua Ho Wo mere sath Bhi HO Ye Zaruri To nahi

Zindagi k Safar Mein Har Musafir khawaab Dekhta hai
Ab Dost Tera Bhi Khawaab Pura Ho Ye Zaruri To Nahi.

Teri har baat se mohabbat ki hai, latest Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Romantic Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Teri har baat se mohabbat ki hai
Tere ehsaas se mohabbat ki hai

Tu mere paas nahi hai phir bhi
Teri yaad se mohabbat ki hai

Main tumko kis tarha bhool sakta hoon
Maine teri har ada se mohabbat ki hai

Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga
Maine un lamhe se mohabbat ki hai

Jinme ho sirf teri or meri baatein
Maine un baato se mohabbat ki hai

Or jo mehka ho sirf teri hi mohabbat se
Maine un jazbaat se mohabbat ki hai

Tujhse milna to ab khawaab sa lagta hai
Maine tere intezaar se mohabbat ki hai

Maine teri har ada se har jaza se mohabbat ki hai
Maine sirf or sirf tumse mohabbat ki hai.

Tere deedar ko taraste rahe hum, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Tere deedar ko taraste rahe hum
Dard bhari raato mein sulagte rahe hum

Teri soorat ki ek jhalak ki khatir
Is dil ko sumbhale dar badar bhatekte rahe hum

Teri yaadon ke sahare teri baaton ke sahare
Din is bedard zindagi ke basar karte rahe hum

Tum to na mile hame saari zindagi
Lamhe apni mout ke yuhi ginte rahe hum.

Har ghadi khud se ulajhna, latest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry,


Har ghadi khud se ulajhna hai mukadar mera
Main hi kashti hoon mujhme hai samundar mera

Ek se ho gaye mousamon ke chehre saare
Meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera

Kisse poochu ke kaha gum hoon kai barso se
Har jagah dhoondta phirta hai mujhe ghar mera

Mudadtein ho gayi ek khawaab sunehra dekhe
Jagta rehta hai har neend mein bistar mera

Har ghadi khud se ulajhna hai mukkadar mera
Main hi kashti hoon mujhie mein hai sumandar mera.

Teri Yaadon ke Bina, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Heart Touching Poetry, Sad Poetry,


Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahi
Ek pal Nahi jab Tumhe Humne Pukaara Nahi

Meri Nakaamiyon Ka Itna Bhi Gum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hai to Main Haara Nahi

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahi

Tere bin Yun Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahi

Kar Rakha Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahi

Kisko Gale Laga Ke Rooye Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahi

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab
Gehre Hai Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahi

Wo aa Ke Poonch De Aansu Hamari Aankhon Se
Itna bhi Hamare Hak Mein Naseeb Hamara Nahi.

Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,

Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de
Wo tiiragii hai ke ab Khawaab tak dhikhaaii na de

Bohat sataate hain rishte jo toot jaate hain
Khudaa kisii ko bhii taufiiq-e-aashanaaii na de

Main saarii umr andheron main kaat saktaa huun
Mere diiyon ko magar roshnii paraaii na de

Agar yahii terii duniiyaa kaa haal hai Maalik
To merii qaid bhalii hai mujhe rihaaii na de

Duaa ye maangii hai sehame huay mu'arrik ne
Ke ab qalam ho Khudaa surKh raushnaaii na de.

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay, latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay

Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay

Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay

Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay.



latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, 
Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, 
Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,

Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry,

Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya
Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya
Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya
Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya
Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya
Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya.

Ghum Sum howa aawaz ka darya tha wo ik shakhs, latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry,

Ghum Sum howa aawaz ka darya tha wo ik shakhs
Pathar bhi naheen ab wo sitara tha jo ik shakhs
Shayd wo bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehroon ko baray ghor se parta the wo ik shaks
Sehra kee tarah dair se piyasa tha wo shayd
Badal kee tarah toot key barsa tha wo ik shakhs
Ay taiz hawa koi khabar us key janoon kee!
Tanha safr-e-shouq pe nikla tha jo ik shakhs
Ab akhree sitroon main kaheen naam hai us ka
Ahbaba kee feh-rist main pehla tha jo ik shakhs
Hathoon main chhupay hoay phirta hai kai zakham
Sheeshay key khilonon se behilta tha jo ik shakhs
Mur mur key isay dekhna chahain meri akhain
Kuchh door mujay chhornay aaya tha jo ik shakhs
Har zehn main kuchh naqsh-e-wafa chhor ghia hai
Kehnay ko bharay shehr main tanha tha jo ik shakhs
Munkar hai wohee ab meri pehchan ka faysal
Aksar mujay khat khoon se likhta tha jo ik shakhs.

Wasi Shah poetry, latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry,

Wasi Shah
Hijr ka taara doob chala hai,dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi
Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay
Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi
Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay?
Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi
Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi
Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai
Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi
Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat "WASI".

Yeh hadain na tourr dainaa, latest Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Romantic Poetry,

Yeh hadain na tourr dainaa, meray daairey mein rehnaa
Mujhey apney dil mein rakhnaa, meray haafzzey mein rehnaa
Meray mazaroun mein bassnaa, meri guftugoo mein hounaa
Meray lamss mein samaana, meray zaaiqey mein rehnaa
Kabhi dhoop kay nagar mein,mera saath chhour jaana
Kabhi meraa akss ban ker meray aainey mein rehnaa
Kabhi manziloun ki soorat, meri dastarass sey baahir
Kabhi sang-e-meel ban ker meray raastey mein rehnaa
Meray haath ki lakeerain tera naam ban kay chammkain
Meri khwaahishoun ki khushboo meray zaaichey mein rehnaa.

Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain, latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,

Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain
Woh paas baithay to aaatee hai dilruba khushboo
Woh apnay hothon pay khilta gulab rakhtay hain
Har ik wark mein tum hi tum ho jaan-e-mehboobi
Hum apnay dil ki kuch aaisee kitab rakhtay hain
Jahan-e-ishq mein Sohni kahin dikhayee dey
Hum apni aankh mein kitnay Chenab rakhtay hain
Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain.

Sub Kuch Waar Doonga Tujh Per Hans Hans Kar main, Urdu Best Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry,

Sub Kuch Waar Doonga Tujh Per Hans Hans Kar main
Na Waroon To Bewafa Be Murawaat Be Qadar main
Is Qadar Chahatoon Ki Parchaiyaan Tjhe Doonga
k Dhoop Pal Na Aigi Tujhe per Pori Umer Main
Taroon Ki Zia Chura Kar, Chanda Ki Roshni Se
Sub Sukh LIkh Doonga Peshani-e-Mehboob per main
Teri Raah K Pathroon Per Main Khud Let Jaonga
De Jaonga Sukoon Tere Qadmoon Ko Janewafa Mar Kar main
Sub k Sub Khush Honge, Teri Khushi k Manzar main
Itni Duain Dejaonga, Tujhe Jholian Bhar Bhar main
Kabhi Na Tu Udas Hona, Raigaan Hojaigi Zindagi Meri
"FAYSAL" Us k Bina Dil Chahe Abhi k Abhi jaon Mar Main.

Lo Pehn Lee Paon Main Zanjeer Ab


Lo Pehn Lee Paon Main Zanjeer Ab
Aur Kea Dikhlaye Gee Taqdeer Ab
Khud He Chal Kar Aa Gia Zindaan Tak
Kea Karo Gay Khawb Ki Tabeer Ab
Ae Maseeha! Jo Tri Baaton Main Thee
Dil Tlak Pohnchi Hay Wo Taseer Ab
Haye Ik Aahat Nay Phir Chonka Dea
Bolnay Wali Thee Wo Tasveer Ab
Seedha Meray Dil He Par Aa Kar Lgay
Aakhri Tarkash Main Hay Jo Teer Ab
Aur Kuchh Panay Ki Hasrat He Nahen
Mil Gaye Hay Pyar Ki Jageer Ab.

Karo Waada Mere Marne Par Aaoge, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry,


Karo Waada Mere Marne Par Aaoge
Mujhe Apne Haato sey Dafnaaoge
Aaoge meri Mayyat Par Apno ki Tarha
Samne Duniya ke Aansu Bhi Bahaoge
Bataoge Na Kisi ko Hamari Duriyaa Key
Baare me wahi Purana Pyar Duniya ko Dikhaoge
Karogi Sabse Jayda Dua meri magfirat ke
Liye Mere Naam Se na Ghabraoge,
Chor kar Zamane Bhar ki Khusiya Mere Liye
Mere Liye tumhare Dil seApna gham mitaoge
Roz Aaya karoge Meri Qabar Par Aur
Dua ke Liye Haat bhi Uthaoge.

Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Sad Poetry, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry,


Seeney se laga k saaaryy gham sare pareshaniya door krdo
Tumse kabhi door na ho paon itna majboor kardo.



Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Sad Poetry, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry,

Sad Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Pictures Poetry, Urdu Poetry, Urdu Romantic Poetry, Sad Poetry,


Ek Na Ek Din Mil Jaane Ka Wada Karo
Meri Zindagi Mein Aane Ka Wada Karo
Bohat Tanha Hoon Main Tumhare Bin
Mujhe Gale Se Lagane Ka Wada Karo
Chum Kar Aarmaan In Honthon Ka Tum
Saanson Mein Basane Ka Wada Karo
Main Jo Kabhi Ruth Jao Tum Se Toh
Muskura Kar Manane Ka Wada Karo
Agar Tham Loon Jo Main Tera Haath
Mera Saath Nibhane Ka Wada Karo
Hai Tamanna Aakhri Dhadkan Tak Tum
Apne Dil Mein Sajane Ka Wada Karo
Chhod Kar Chali Aaongi Saari Duniya
Mujh Ko Apna Banane Ka Wada Karo.




Sad Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, 
Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, 
Urdu Pictures Poetry, Urdu Poetry, Urdu Romantic Poetry, Sad Poetry,

Chup Chup Se Na Raha Karo, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Chup Chup Se Na Raha Karo
Yoon Weham Sa Ho Jata Hai
Kahin Khafa To Nahi Ho
Kahin Uddas To Nahi Ho
Tum Boltay Achay Lagtay Ho
Tum Dant'tay Achay Lagty Ho
Kabhi Shararat Se, Kabhi Ghussay Se
Tum Hanstay Achay Lagtay Ho
Chup Chaap Se Na Raha Karo
Tum Boltay Achhay Lagtay Ho.

Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Guzraa hai mohabbat main kuch aesa bhi zamana
Roothi hoon agar main to manaya hai kisi ne.




Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, 
Urdu Images Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,

Na woh farishta ho Na farishte Jaisa ho, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry,

Na woh farishta ho Na farishte Jaisa ho
Mujhe Talaash hai uss ki jo mere Jaisa Ho
Mere Khaloos ko Pehnchanta ho Bas Kaafi hai
Woh Koi bhi ho Kahin bhi Ho Kaisa Ho
Agar kabhi Rooth jaaun main uss se Toh
Muskura ke Manaaye Woh aisa ho
Dukhon mein Hasne ka Hunar Jaanta ho
Ek aisa Humsafar Jo Samander ki tarah Gehra ho
Umar Bhar Saath chale Woh Aisa ho
Mujhe talaash hai us ki Jo mere Jaisa ho.




Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart 
Touching Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry,

Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Hichkiyan Aati Hain To Dil Ki Ragain Tootti Hain
Teri Yaadon Ne Ajab Qehir Macha Rakha Hai.

latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Tumhaary Siwa Kisi Or Ko Chaahy
Nikaal Na Phenko'n Aesy Dil ko Alamgir.




latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart 
Touching Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,

latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Heart Touching Poetry,


Aazmaatey Hain Log Sabar Mera
Ziker Har Baar Tumharaa Kar Kay. Alamgir.




latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart 
Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Heart Touching Poetry,

Mera Chehra Mere Halaat Ka Aaina Hay

Mera Chehra Mere Halaat Ka Aaina Hay

Barish Poetry, Barish Urdu Poetry, Barish Pictures Poetry, Romantic Barish Poetry, Barish Sms, Heart Touching Poetry, Barish Poetry Collection,

 Ye Rim Jim, Ye BArish, Ye Awargi Ka Mousam
Hamaray Bas Main Hota Tu Tere Paas Chalay Aatay

 Yun Saleeqay Se Yaad Aatay Ho
Jaisay Barish Ho Waqfay Waqfay Se

Taiz Barish Main Karra Hon, Wo Ik Jumla Sun'nay Ko
Aray Idhar Aaow---- Beeg Jaow Ge.

Sabne kaha tum me pehle jaisi bat nahi


Sabne kaha tum me pehle jaisi bat nahi
Maine kaha zindagi me uska sath nahi
Sabne kaha ab bhi kisi ki aankho me doob sakte ho
Maine kaha ab kisi ki aankho me wo baat nahi
sabne kaha kyon itna toot kar chaha unhe
maine kaha insaan hon patthar nahi
sabne kaha kya bewafa hai wo
maine kaha wafa ki talash nahi
sabne kaha bhool jao use ab
maine kaha haqiqat hai wo koi khawab nahi.

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye


Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabi Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye.

Lewaney Ghani Khan


Lewaney Ghani Khan
Lewaney shaantey armaan da lewaney vii
Lewaney lewaney yaar da lewanii vii

Zaa kho khpala lewaney yam zaka waayam
Lewano sara hum kaar da lewanii vii

Zarorii na da grewaan chey vii shledaley
Da zrra kor aksar wraan da lewanii vii

Da khumaaro stargo toor warta laa sa vii
Stargey srey laka angaarr da lewanii vii

Chey pa meena da dunyaa pa bala waaraee
Daasey nar ghundey jazbaat da lewanii vii

Daa zama ao staa da wass khabara na da
Meena meena kho bass kaar da lewanii vii

Maa GHANI da lewano sara wakht teer ka
Pa zrra proot seraf janaan da lewanii vii.

Hum roz batain kertay hain, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Hum roz batain kertay hain apni tanhai kay daman se
Shab-e-wasl ka intezar krtay hain in jagti aankhoun se
Najanay kab hum loutain us shehr mai jana
Her raat duaen mangtay hain in kanptay hathoun se
Dil tham kay bhaitay hain ek arsay say hum apna
Dard ki shiddat barhatay hain log batoun ki aatish se
Ab apna guzara mumkin nai is dunia main ae Dost
Saman-e-Akhrat bandh ker chalay hum to is Mehfil se.

Shab-e-tanhai ka alam tha, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Shab-e-tanhai ka alam tha
main khari thi teri raah main
k kash to kabhi lout aye
mujhay kabhi tu sada to day
baarish bht taiz thi
main roti rahi roti rahi
mray ansoun kuch khas thay
kisi nay a kay sambhal liye
teray kafn ka ek tukra dost
aj b mray pas hai
jis main to so gea
wo miiti meray pass hai
najanay kion main aj b
ek umeed lay kr baithi hn
tum ao gay tum ao gay
ek rozz tum ao gay.

Shanasaai Ki Deewar Ko Gir Jany De, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Shanasaai Ki Deewar Ko Gir Jany De
Tu Mujhe Paas Se Chup Chaap Guzar Jany De
Zindagi Tere Gham Me Khud Hi Bikhar Jaye Gi
Hijr K Dard Ka Mafhoom Samajh Aany De
Haan Tere Bad Sambhal Jain Gy Rafta Rafta
Hum Isi Aas Me Hain Hum Ko Behel Jany De
Apni Marzi Se Samete Hain Ye Anso Main ne
Mujh Ko Is Dard K Darya Me Utar Jany De
Gham-E-Tanhai Tujhe Khaak Na Kr De Akhir
Thaam Ly Haath Koi Meri Fikar Jany De.

Hain ye jo apno sa chehra liye jane kaun hain, Sad Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Na jane kyon hai mehmaan meri palkon per aye hue
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue
Khuda jane kya ye 'mujazza' hai ki mehkta hai ghar mera
arsa hua hai unko iss dayaar-e-muntzir main aye hue
Hain ye jo apno sa chehra liye jane kaun hain
Gale milte bhi hain to hath se dil chupaye hue
Ab ehsaas bhi aitbaar ka nazar-e-tuffan ho gaya
Nakhuda ko bhi baithe hain hum bakhuda azmaye hue
Kuch iss tarah teri duniya se beaabru hoker hum chale
Jaise zohad wale baithe hain duniya tujhse churaye hue
Khudaya shukr ke usne keh jo diya palat ker
Verna phirte teri buzm main apna moo chupaye hue
Hawao se jab kabhi muqabil ye patang nazer ayi
Badala rukh hawao ne aur chali sar uthye hue !
Bhatakti hui ek massom saba roti rahi mere shano pe
Kehti thi kyon ho iss shaher main gaon apna lutye hue
Kya dhondhta hai jane wo masiha ab wo dharkanain kahan
Khan-e-dil ko baithi hai wafayen yadon ka mazaar banye hue
Wahi palke wahi khushbu wahi chehra to hai “shakeel”
Zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue.

Alfaz kay jhootay bandhan mein, latest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Alfaz kay jhootay bandhan mein
Aghraz kay gehray pardon mein
Har shakhs muhabbat kerta hai
Hala kay muhabbat kuch bhi nahi
Sab jhotay rishtay naatay hain
Sab dil rakhnay ke batain hain
Sab asli roop chupatay hain
Ehsas se khali loog yahan
Lafzon kay teer chalatay hain
Ik bar nazar mein aa kar wo
Phir sari umar rulatay hain
Ye ishq-o-muhabbat mehr-o-wafa
Sab rasmi rasmi batain hain
Her shakhs khudi ke masti mein
Bas apni khatir jeeta hai.

latest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Urdu Short Poetry, Faraz Poetry,

Usay tarasha k heera bana diya hum ne Faraz
Magar ab ye sochte hay usay khareedein kaise.

Kal Raat Ajab Ittefaaq Hua


Kal Raat Ajab Ittefaaq Hua
Mujhe Khuwab me Uska Deedaar Hua
Dheere Se Mai Us K Paas Hua
Magar! Phir Khuwab Ka Ehsaas Hua
Mene Socha K Uska Naam Loon
Phir Chaha K Barh K Thaam Loon
Haseen Honto Se Uska Jaam Loon
Mai Hijir me Wisaal Ka Kaam Loon
Mgr! Bhool Gaya Ye To Khuwab Tha
Mai Khuwab me Kitna Be-Hijaab Tha
Mgr! Baat Na Thi Sirf Hijaab Ki
Mera Pyar B To Be-Hisaab Tha
Khuli Aankh To Khuwab Nelaam Hua
Mere Pyar Ka Qissa Tamam Hua.

Kaanch Chubhe tu Zakham reh jaata hai


Kaanch Chubhe tu Zakham reh jaata hai
Dil Toote tu Armaan reh jata hai

Laga deta hai Waqt, Marham dil per
Phir bhi Umar bhar Nishan reh jata hai.

Funny Poetry, Urdu Funny Poetry, Latest Funny Poetry, Funny SMS, Meri Sham ko sanwar do,

Meri shaam ko sanwar do meri raat ko qarar do
Mujhay UPS udhar do ya genrator se aik taar do.

Sad Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Phir kahan chupti hai jab zahir mohabbat ho chuki
Hum bhi ruswaa ho chuke un ki bhi shohrat hon chuki.

Koi Aapse pooche kaun hoon main


Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Ek dost hai kaccha pakka sa
Ek jhooth hai aadha saccha sa
jazbaat ko dhake ek parda bas
Ek bahana hai accha sa

Jeevan ka ek aisa saathi hai
Jo door ho ke pass nahin
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Hawa ka ek suhana jhonkha hai
Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le
Kabhi apna toh kabhi begaano sa

Zindgi ka ek aisa humsafar
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai
Yuh toh uske na hone ka kuch gham nahi
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai

Yuh rehta toh mere tassavur me hai
Par in aankho ko uski talaash nahi
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahin.

Qateel Shifai, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay
Jo Guzar Rahi Hay Mujh Par Mera Dil Hi Janta Hay

To Saba Ka Hay Woh Jhonka Jo Guxar Gaya Chaman Say
Nah Woh Ronkain Hain Bakq Nah Kahein Sahanta Hay

Usay main Naseeb Janoun kah Bashar ki Khud Faraibi
Koi Bhar Rahay Daaman koi Khaak Chaanta Hay

Tera Youn Khyaal Aaya Mujhay Gham Ki Dopehar Main
Koi Jaisay Apna Aanchal Mere Sar Pah Taanta Hay

Main Nizam-e-Zar Ki Daiwi Say Qateel Aashna Houn
Kahein Naam Iska Bano, Kahein Chandar Kaanta Hay.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Ek Baar Jo Tak Lay Usay Takta Hi Chala Jaye
Shola Sa Badan Uska Dehakta Hi Chala Jaye

Kardaar Ada Jab Main Karoun Baad-e-Saba Ka
Woh Phool Ki Maanind Mehakta Hi Chala Jaye

Haalaat Ki Bijli Nay Kiya Raakh Nasheman
Par Aas Ka Panchi Kah Chehakta Hi Chala Jaye

Aa Jayen Muyassar Jisay Aankhoun K Woh Saaghar
Woh Rind To Pii Pii K Behakta Hi Chala Jaye

Phooloun Ki Tawaqa Hay Nah Imkaan Samar Ka
Ek Pair Magar Phir Bhi Lehakta Hi Chala Jaye

Ham Laakh Muhazzab Houn Magar Tum Hi Batao
Jab Zabt Ka Paimana Chalakta Hi Chala Jaye

Har Gaam Pah Ilzaam Ab Bhi Hain Lakin
Un Paaoun Main Bichwa Jo Chanakta Hi Chala Jaye.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...