Chehre pe muskurahato ka dour hai lekin
Shayad ke raha wo bhi pareshaan ho aksar
Ek umar hui chhod k wo shakhs gaya hai
Par dil hai ke is baat pe hairaan hai aksar
Ha zakhm diya hai ye magar uski saadgi
Wo shakhs mere dard se anjaan hai aksar
Is shehar k logo se bhi mere the maraasim
Yuhi nahi ye shehar bhi veeraan hai aksar
Koi to apne haal pe roye kabhi kabhi
Kyu khud pe ye hasta hua insaan hai aksar
Haa daam to maloom nahi par ye pata hai
Bikta kabhi kabhi nahi imaan hai aksar
Ae kaash k insaan ko insaan keh sakoon
Apna bhi to yehi armaan hai aksar.
No comments:
Post a Comment