Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahi
Ek pal Nahi jab Tumhe Humne Pukaara Nahi
Meri Nakaamiyon Ka Itna Bhi Gum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hai to Main Haara Nahi
Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahi
Tere bin Yun Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahi
Kar Rakha Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahi
Kisko Gale Laga Ke Rooye Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahi
Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab
Gehre Hai Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahi
Wo aa Ke Poonch De Aansu Hamari Aankhon Se
Itna bhi Hamare Hak Mein Naseeb Hamara Nahi.

No comments:
Post a Comment