Ek Baar Jo Tak Lay Usay Takta Hi Chala Jaye
Shola Sa Badan Uska Dehakta Hi Chala Jaye
Kardaar Ada Jab Main Karoun Baad-e-Saba Ka
Woh Phool Ki Maanind Mehakta Hi Chala Jaye
Haalaat Ki Bijli Nay Kiya Raakh Nasheman
Par Aas Ka Panchi Kah Chehakta Hi Chala Jaye
Aa Jayen Muyassar Jisay Aankhoun K Woh Saaghar
Woh Rind To Pii Pii K Behakta Hi Chala Jaye
Phooloun Ki Tawaqa Hay Nah Imkaan Samar Ka
Ek Pair Magar Phir Bhi Lehakta Hi Chala Jaye
Ham Laakh Muhazzab Houn Magar Tum Hi Batao
Jab Zabt Ka Paimana Chalakta Hi Chala Jaye
Har Gaam Pah Ilzaam Ab Bhi Hain Lakin
Un Paaoun Main Bichwa Jo Chanakta Hi Chala Jaye.
No comments:
Post a Comment