Kal Raat Ajab Ittefaaq Hua


Kal Raat Ajab Ittefaaq Hua
Mujhe Khuwab me Uska Deedaar Hua
Dheere Se Mai Us K Paas Hua
Magar! Phir Khuwab Ka Ehsaas Hua
Mene Socha K Uska Naam Loon
Phir Chaha K Barh K Thaam Loon
Haseen Honto Se Uska Jaam Loon
Mai Hijir me Wisaal Ka Kaam Loon
Mgr! Bhool Gaya Ye To Khuwab Tha
Mai Khuwab me Kitna Be-Hijaab Tha
Mgr! Baat Na Thi Sirf Hijaab Ki
Mera Pyar B To Be-Hisaab Tha
Khuli Aankh To Khuwab Nelaam Hua
Mere Pyar Ka Qissa Tamam Hua.

Kaanch Chubhe tu Zakham reh jaata hai


Kaanch Chubhe tu Zakham reh jaata hai
Dil Toote tu Armaan reh jata hai

Laga deta hai Waqt, Marham dil per
Phir bhi Umar bhar Nishan reh jata hai.

Funny Poetry, Urdu Funny Poetry, Latest Funny Poetry, Funny SMS, Meri Sham ko sanwar do,

Meri shaam ko sanwar do meri raat ko qarar do
Mujhay UPS udhar do ya genrator se aik taar do.

Sad Urdu Poetry, latest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Phir kahan chupti hai jab zahir mohabbat ho chuki
Hum bhi ruswaa ho chuke un ki bhi shohrat hon chuki.

Koi Aapse pooche kaun hoon main


Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Ek dost hai kaccha pakka sa
Ek jhooth hai aadha saccha sa
jazbaat ko dhake ek parda bas
Ek bahana hai accha sa

Jeevan ka ek aisa saathi hai
Jo door ho ke pass nahin
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Hawa ka ek suhana jhonkha hai
Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le
Kabhi apna toh kabhi begaano sa

Zindgi ka ek aisa humsafar
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahi

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai
Yuh toh uske na hone ka kuch gham nahi
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai

Yuh rehta toh mere tassavur me hai
Par in aankho ko uski talaash nahi
Koi Aapse pooche kaun hoon main
Aap keh dena koi khaas nahin.

Qateel Shifai, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay
Jo Guzar Rahi Hay Mujh Par Mera Dil Hi Janta Hay

To Saba Ka Hay Woh Jhonka Jo Guxar Gaya Chaman Say
Nah Woh Ronkain Hain Bakq Nah Kahein Sahanta Hay

Usay main Naseeb Janoun kah Bashar ki Khud Faraibi
Koi Bhar Rahay Daaman koi Khaak Chaanta Hay

Tera Youn Khyaal Aaya Mujhay Gham Ki Dopehar Main
Koi Jaisay Apna Aanchal Mere Sar Pah Taanta Hay

Main Nizam-e-Zar Ki Daiwi Say Qateel Aashna Houn
Kahein Naam Iska Bano, Kahein Chandar Kaanta Hay.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Ek Baar Jo Tak Lay Usay Takta Hi Chala Jaye
Shola Sa Badan Uska Dehakta Hi Chala Jaye

Kardaar Ada Jab Main Karoun Baad-e-Saba Ka
Woh Phool Ki Maanind Mehakta Hi Chala Jaye

Haalaat Ki Bijli Nay Kiya Raakh Nasheman
Par Aas Ka Panchi Kah Chehakta Hi Chala Jaye

Aa Jayen Muyassar Jisay Aankhoun K Woh Saaghar
Woh Rind To Pii Pii K Behakta Hi Chala Jaye

Phooloun Ki Tawaqa Hay Nah Imkaan Samar Ka
Ek Pair Magar Phir Bhi Lehakta Hi Chala Jaye

Ham Laakh Muhazzab Houn Magar Tum Hi Batao
Jab Zabt Ka Paimana Chalakta Hi Chala Jaye

Har Gaam Pah Ilzaam Ab Bhi Hain Lakin
Un Paaoun Main Bichwa Jo Chanakta Hi Chala Jaye.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...