Tareef karoon agar main tumhari
Sochta hun andaaz-e-bayaan kya hoga
Ghazalen sunaoon auron ki kalam se
Par unme aakhir naya kya hoga!
Tohfa doon agar main tumhe
Nakaafi gul-e-gulaab hoga
Firr sochta hun jaan a ruh doon tumhe
Bhala isse nayaab aur kya hoga!
Samet loon agar tumhe ek lafz me
Chhota jaan-e-wafa hoga
Kamzori nahi ho tum meri
Par iss taakat ka naam naya hoga!
Dekhoon agar main tumhari nazron me
Ajab saa haal mera hoga
May ki zaroorat nahi aainda
Usme tumsa nasha hi kya hoga!
Chhoo loon agar main tumhe
Bada kaanpta sa haath mera hoga
Kaanch ki bani si tum
Toot gayin to mera kya hoga.
Sochta hun andaaz-e-bayaan kya hoga
Ghazalen sunaoon auron ki kalam se
Par unme aakhir naya kya hoga!
Tohfa doon agar main tumhe
Nakaafi gul-e-gulaab hoga
Firr sochta hun jaan a ruh doon tumhe
Bhala isse nayaab aur kya hoga!
Samet loon agar tumhe ek lafz me
Chhota jaan-e-wafa hoga
Kamzori nahi ho tum meri
Par iss taakat ka naam naya hoga!
Dekhoon agar main tumhari nazron me
Ajab saa haal mera hoga
May ki zaroorat nahi aainda
Usme tumsa nasha hi kya hoga!
Chhoo loon agar main tumhe
Bada kaanpta sa haath mera hoga
Kaanch ki bani si tum
Toot gayin to mera kya hoga.
No comments:
Post a Comment