Safar_e_Wafa ki Raah me Manzil jafa ki thi
Kaghaz ka GHAR Bana ke bhi Khawahish Hawa ki thi
Kaghaz ka GHAR Bana ke bhi Khawahish Hawa ki thi
Thi Jugnoon k Shehar mein Taaron Se Dushmani
Mehboob Chaand tha aur Tamana Subah ki thi
Tum ne to ibadat ka Tamasha Bana diya
Chahat Namaaz ki thi par Aadat Qaza ki thi
Me ne to Zindagi ko Tere Naam likha tha
Shayad mager kuch aur hi Marzi khuda ki thi
Dard he Dena tha to pehle Bata Daite
Humko bhi AZAL se he Tamana SAZA ki thi.
No comments:
Post a Comment