Aksar Insan azad ho kar bhi azad nahin reh pata
kabhi Kismat rok leti hai kabhi koi Majboori qaid kar leti hai
kabhi insan khud apni zanjeer ban jata hai
aur kabhi Yaadein insan ko qaidi bana deti hain.
Insan ki jagah agar us ki khuch yaadein qaid hotien tou
insan kitna azad hota ya phir khuch youn hota ke yaadein
muthi se nikalti hoi rait ki tarah hotien tou phir main khud yaadon ko
zehan mein bharta aur woh khud mere zehan se nikal jatien.
No comments:
Post a Comment