Mohsin Poetry, Mohsin Naqvi Poetry, Mohsin Naqvi Best Ghazal, Urdu Ghazal By Mohsin Naqvi,


Ab Ke Youn Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti He
Rang Phooty, Kaheen Khushbu Ki Rasan Tooti He
Maut Aai He k Taskeen Ki Sa'at Aai
Saans Tooti He k Sadiyon Ki Thakan Tooti He
Seena-e-Gul Jahan Nikhat Bhi Giran Thehri Thi
Teer Ban Kar Wahan Sooraj Ki Kiran Tooti He
Dil Shikasta To Kai Baar Huye Thay Lekin
Ab k Youn He k Har Ek Shakh-e-Badan Tooti He
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti He
Aik Sho'la k Tah-e-Khaima-e-Jaan Lapka Tha
Aik Bijli k Sar-e-Sehan-e-Chaman Tooti He
Silsilah Tujhse Bicharnay Pe Kahan Khatm Huwa
Ek Zamanay Se Rah-o-Rasm-e-Kuhan Tooti He
Mery Yaaron k Tabassum Ki Kiran Maqtal Hain
Nauk-e-Naizah Ki Tarah Zair-e-Kafan Tooti He
Raizah Raizah Me Bikharta Gaya Har Su Mohsin
Sheeshah Sheeshah Meri Sangeeni-e-Fan Tooti He.





Urdu Best Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, 
Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...