Bhool chuka hu apni dastaan zara phir se kehna


Bhool chuka hu apni dastaan zara phir se kehna
Ayi kis tarah gulshan me khizan zara phir se kehna
Qadam kabhi is tarah dagmagaye to na the
Simat kyu rha hai jahan zara phir se kehna
Dil jo dhadakta tha meri yaad ke saayo tale
Hua kaise jazbo se anjaan zara phir se kehna
Yu to har sham ko pegham-e-subah diya tune
Tarikh sa kyo lagta hai samaan zara phir se kehna
Taqdeer ki laghzish thi ke nafas parasti ka janoon
Ajnabi sa tha andaz-e-bayaan zara phir se kehna
Tere labo pe machalti huyi khamosh si junmbish
Kyo na kahu lafzo ka ziyan zara phir se kehna
Muskrahato me jhalakte huye ashq kya maani
Koi to hoga is me raaz pinhaan zara phir se kehna
Zindagi ki veeran raaho me aayegi bahar
Kya tera bhi hai ye emaan zara phir se kehna
Armano ki chita jalane se kiya haasil Alamgir
Hua hai ab ye raaz nihaan zara phir se kehna.




latest Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, 
Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...