Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey
Kis ko sairaab karey woh kisey pyasa rakhey
Umr bhar kon nibhata hai taaluq itna
Ae meri jaan ke dushman tujhe ALLAH rakhey
Hum ko acha nahi lagta koi humnaam tera
Koi tujhsa ho to phir naam bhi tujhsa rakhey
Dil bhi pagal hai ke uss shakhs se wabasta hai
Jo kisi aur ka hone de na apna rakhey
Kam nahi tama-e-ibadat bhi to hirs-e-zar se
Fuqr to woh hai ke jo deen na duniya rakhey
Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan per
Ja khuda meri tarah tujhko bhi tanha rakhey
Yeh qanaa-at hai itaa-at hai ke chahat hai Faraz
Hum to raazi hain woh jis haal mein jaisa rakhey.
No comments:
Post a Comment