Zulm seh kar bhi samjhta hon k tu mera hai
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai
Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai
Mere hathon main chupe zakham se pehchan mujhay
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai
Ghir gaya hon main talatum main bhi zindaan ki tarah
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai
Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne
Apne hi shehar ka har shaks adu hai mera
Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de
Aks tera hai to saaya lab jo mera hai
Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai “Mohsin”
Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai.
No comments:
Post a Comment