Barrkayin meri pyas ko aksar teri aankhin
Sehra mera chera hay samandar teri aankhin
Phir kon bhala dad-e-tabasum enhain de
Royengi bhoht mujh se bicharr kar teri aankhin
Bohjal nazar aati hay bazahir mujhay lakin
khulthi hay bhoht dil may uthar ker teri aankhin
Aab tak meri yaadon se mettaye nahi mittha
Beegi howi ik sham ka manzar teri aankhin
Momkin ho tu ik taza ghazal or bhi keh lo
Phir orrh na lay khwab ki chadar teri aankhin
Youn dekhtay rehna usay acha nahi MOHSIN
Wo kaanch ka paiker hay tu pathar teri aankhin.

No comments:
Post a Comment