Khirrkiyan kis tarah ki hain, aur dar kesa hai woh
Sochta hoon, jis mein woh rehta hai ghar kesa hai woh
Kesi woh aab-o-hawaa hai jis mein woh saans leta hai
Aata jata hai woh jis par raahguzar kesa hai woh
Main to us ke aik aik lamhe ka rakhta hoon shumaar
Aur mere haal-e-dil se be’khabar kesa hai woh
Us ka hona hi bohat hai, woh kahin hai to sahi
Kya sarokaar is se mujh ko Zafar kesa hai woh.

No comments:
Post a Comment