Qatl kar chhipaye jate hai wo khanjar dastano mein
Hum apana gam ghhol peeye jate hai paimano mein
kar ke be-aabru insaniyat banaya dojakh wadiyo ko
rooh-e-khuda basaa nahi karta aaise haiwano mein
chand rupayoo me bech liya karte hai jo imaan apana
ye shayar shameel nahi unn baigairat-baimaano mein
Kar jaaye jo seena chhallani mere iss 'Tirange' kaa
HaiN dam nahi abhi itana kisi ke teer-kamano mein
Main aaj ka badhta yuvaa Bharat hun SAHIL
rok le mere kadam, hai nahi dam itana zamano mein.
No comments:
Post a Comment