Musafir to bichertay hain rifakat kab badlti hai
Muhabbat zinda rehti hai Muhabbat kab badlti hai,
kali ka phool ban'na aur bikhar jana mukaddar hai
Yehi qanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badlti hai,
Jo DiL me bas jaye aur aankhon me simat aye
Alamat hai ye Chahat ki aur Chahat kab badlti hai,
Tumhi ko Chahtay hain Tumhi se Muhabbat kertay hain.
Yehi barson se adat hai aur adat kab badlti hai.
No comments:
Post a Comment