Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi,
Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi,
Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi,
Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi,
Jo ho Faisla woh sunaaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karain ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi,
Usey dekhne ki jo Loo lagi, to 'NASIR' dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi.
No comments:
Post a Comment