Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte
Ek baar yun kisi ko keh ker apna
Daman phir uss se churaya nahi karte,
Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,
Do qadam saath chal kar jo judda ho jayen
Aise logon ko toh humsafar banaya nahi karte
Kiss tarha guzarti hogi zindagi unn ki
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte.
No comments:
Post a Comment