Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga
Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga,
Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj
Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga,
Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay
Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga,
Uski galyon mein hamay koi nahi pehchanay ga
Koi tana koi dashman nahi ay ga,
Dil k darwazay per dastak nahi de ga
Koi nama koi paigham nahi ay ga,
Umr bhar matam mein shehr-e-tamana ho ga
Neend to ay gi aram nahi ay ga,
Magar ae bad-e-saba us se ja kr kehna
Is kahani mein abkoi nam nahi ay ga.
No comments:
Post a Comment